الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب لا يفترش ذراعيه فى السجود:
Bab: Is bare mein ke namazi sajde mein apne dono baazuon ko (janwar ki tarah) zameen par na bichhaye.
Hadith Number: 822
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود، ولا يبسط احدكم ذراعيه انبساط الكلب".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Qatadah se suna , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sajde mein itidaal ko malhooz rakho aur apne baazu kuton ki tarah na phelaaya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 532
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا يزيد بن إبراهيم، قال: حدثنا قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود ولا يبسط ذراعيه كالكلب، وإذا بزق فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه فإنه يناجي ربه".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , kaha hum se Yazid bin Ibrahim ne , unhon ne kaha ke hum se Qatada ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se bayan kiya , aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke sajda karne mein itidal rakho sidhi tarah par karo aur koi shakhs tum mein se apne bazuon ko kutte ki tarah na phelaaye . Jab kisi ko thookna hi ho to samne ya dahni taraf na thooke , kyunke woh namaz mein apne Rab se posheeda batein karta rehta hai aur Saeed ne Qatada raziyallahu anhu se riwayat kar ke bayan kiya hai ke aage ya samne na thooke albatta bayen taraf paon ke neechay thook sakta hai aur Shoba ne kaha ke apne samne aur dayen janib na thooke , balkay bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai . Aur Humaid ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte hain ke qibla ki taraf na thooke aur na dayen taraf albatta bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 641
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، قال: سمعت ابا سلمة، يقول: اخبرنا جابر بن عبد الله،" ان النبي صلى الله عليه وسلم جاءه عمر بن الخطاب يوم الخندق، فقال: يا رسول الله، والله ما كدت ان اصلي حتى كادت الشمس تغرب وذلك بعد ما افطر الصائم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: والله ما صليتها، فنزل النبي صلى الله عليه وسلم إلى بطحان وانا معه، فتوضا ثم صلى يعني العصر بعد ما غربت الشمس، ثم صلى بعدها المغرب".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shayban ne Yahya ke wastay se byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Salama se suna , woh kehtay thay ke hamein Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein Umar bin Khattab razi Allahu anhu ghazwa Khandaq ke din haazir huay aur arz ki ya Rasool Allah! qasam Allah ki sooraj ghuroob hone ko hi tha ke main ab Asr ki namaaz parh saka hoon . Aap jab haazir khidmat huay to roza iftaar karne ka waqt aa chuka tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke qasam Allah ki main ne bhi to namaaz Asr nahi parhi hai . Phir Aap salla Allahu alayhi wasallam Buthan ki taraf gaye . Main Aap salla Allahu alayhi wasallam ke saath hi tha . Aap salla Allahu alayhi wasallam ne wuzu kiya , phir Asr ki namaaz parhi . Sooraj doob chuka tha . Phir us ke baad Maghrib ki namaaz parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة