الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب السجود على سبعة أعظم:
Bab: Saat haddiyon par sajda karna.
Hadith Number: 810
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" امرنا ان نسجد على سبعة اعظم ولا نكف ثوبا ولا شعرا".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne , unhon ne Amr se , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hamein saat aza par is tarah sajda ka hukm hua hai ke hum na baal sametein na kapre .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 809
حدثنا قبيصة، قال: حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن طاوس، عن ابن عباس،" امر النبي صلى الله عليه وسلم ان يسجد على سبعة اعضاء، ولا يكف شعرا ولا ثوبا الجبهة واليدين والركبتين والرجلين".
Hum se Qabisa bin Uqbah ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , Aap ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko saat aza par sajda ka hukm diya gaya , is tarah ke na baalon ko apne samete na kapre ko (woh saat aza yeh hain) peshani (ma naak) donon haath , donon ghatne aur donon paon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 812
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن عبد الله بن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" امرت ان اسجد على سبعة اعظم على الجبهة، واشار بيده على انفه واليدين والركبتين واطراف القدمين ولا نكفت الثياب والشعر".
Hum se Muali bin Asad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Taus se , unhon ne apne baap se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya mujhe saat aza par sajda karne ka hukm hua hai . Peshani par aur apne haath se naak ki taraf ishaare kiya aur donon haath aur donon ghatne aur donon paon ki ungliyon par . Is tarah ke hum na kapre sametein na baal .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 815
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد وهو ابن زيد، عن عمرو بن دينار، عن طاوس، عن ابن عباس، قال:" امر النبي صلى الله عليه وسلم ان يسجد على سبعة اعظم ولا يكف ثوبه ولا شعره".
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm tha ke saat haddiyon par sajda karen aur baal aur kapre na sametein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 816
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، عن عمرو، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" امرت ان اسجد على سبعة لا اكف شعرا ولا ثوبا".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Awanah Waddah ne , Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya mujhe saat haddiyon par is tarah sajda ka hukm hua hai ke na baal sametoon aur na kapre .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة