الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب ما يقول الإمام ومن خلفه إذا رفع رأسه من الركوع:
Bab: Imam aur muqtadi ruku’ se sar uthane par kya kahen?
Hadith Number: 795
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا قال: سمع الله لمن حمده قال اللهم ربنا ولك الحمد، وكان النبي صلى الله عليه وسلم إذا ركع وإذا رفع راسه يكبر، وإذا قام من السجدتين، قال: الله اكبر".
Hum se Badal bin Muhabbir ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke Mujhe Hukm ne Ibn Abi Layla se khabar di , unhon ne Bara bin Aazib razi Allahu anhu se , unhon ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ruku o sujood , donon sajdon ke darmiyan ka waqfa aur jab ruku se sar uthate to taqreeban sab barabar thay . Siwa qiyam aur tashahhud ke qaud ke .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 785
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة،" انه كان يصلي بهم فيكبر كلما خفض ورفع، فإذا انصرف، قال: إني لاشبهكم صلاة برسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha ke hamein Imam Malik rahimahullah alayhi ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne Abu Salamah bin Abdur Rahman se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Aap logon ko namaaz parhate thay to jab bhi woh jhukte aur jab bhi woh uthate takbeer zaroor kehtay . Phir jab farigh hote to farmate ke main namaaz parhne mein tum sab logon se zyada Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz se mushabahat rakhne wala hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4559
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، قال: حدثني سالم، عن ابيه: انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا رفع راسه من الركوع في الركعة الآخرة من الفجر، يقول:" اللهم العن فلانا وفلانا وفلانا"، بعد ما يقول:" سمع الله لمن حمده، ربنا ولك الحمد"، فانزل الله: ليس لك من الامر شيء إلى قوله: فإنهم ظالمون سورة آل عمران آية 128. رواه إسحاق بن راشد، عن الزهري.
Hum se Habban bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , kaha mujh se Salim ne byaan kiya , un se un ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap ne Fajr ki doosri rakat ke ruku se sar utha kar yeh bad-dua ki . ”Ae Allah! Falan , falan aur falan kafir par lanat kar . Yeh bad-dua Aap ne «samiallahu liman hamidah» aur «rabbana wa lakal hamdu» ke baad ki thi . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat utari «laysa laka minal amri shay'un» ”Aap ko is mein koi dakhal nahi .“ Aakhir aayat «fa-innahum zhalimoona» tak . Is riwayat ko Ishaq bin Rashid ne Zuhri se naqal kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة