الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب القراءة فى المغرب:
Bab: Namaz-e-maghrib mein qira’at ka bayan.
Hadith Number: 763
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال: إن ام الفضل سمعته وهو يقرا" والمرسلات عرفا، فقالت: يا بني، والله لقد ذكرتني بقراءتك هذه السورة إنها لآخر ما سمعت من رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرا بها في المغرب".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne Muhammad bin Jubayr bin Mutim se , unhon ne apne baap (Jubayr bin Mutim) se , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Maghrib mein Surah Tur parhte huay suna tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4429
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، عن ام الفضل بنت الحارث، قالت:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في المغرب ب: والمرسلات عرفا سورة المرسلات آية 1، ثم ما صلى لنا بعدها حتى قبضه الله".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Ubaydullah bin Abdullah ne , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne aur un se Umm Fadl bint Harith razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne suna Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Maghrib ki namaz mein «wal mursalati urfan» ki qirat kar rahe thay , is ke baad phir Aap ne hamain kabhi namaz nahi parhayi , yahan tak ke Allah Ta'ala ne Aap ki rooh qabz kar li .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة