الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {لا تحرك به لسانك} :
Allah Taala ka (Surat Al-Qiyaamah mein) irshaad "Quran naazil hote waqt is ke saath apni zabaan ko harkat na diya kar".
Hadith Number: 7524
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ابو عوانة، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله تعالى: لا تحرك به لسانك سورة القيامة آية 16، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم" يعالج من التنزيل شدة وكان يحرك شفتيه، فقال لي ابن عباس: فانا احركهما لك كما كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يحركهما، فقال سعيد: انا احركهما كما كان ابن عباس يحركهما، فحرك شفتيه، فانزل الله عز وجل: لا تحرك به لسانك لتعجل به {16} إن علينا جمعه وقرءانه {17} سورة القيامة آية 16-17، قال: جمعه في صدرك، ثم تقرؤه: فإذا قراناه فاتبع قرءانه سورة القيامة آية 18، قال: فاستمع له وانصت، ثم إن علينا ان تقراه، قال: فكان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اتاه جبريل عليه السلام استمع، فإذا انطلق جبريل قراه النبي صلى الله عليه وسلم كما اقراه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya , in se Musa bin Abi Aisha ne , in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne (Surah al-Qiyamah mein) Allah Ta'ala ka irshad «laa tuhar-rik bi-hee lisaanaka» ke mutalliq ke wahi nazil hoti hai to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par is ka bahut baar parta hai aur Aap apne hont hilate . Mujh se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne kaha ke main tumhein hila ke dikhata hoon jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hilate thay . Saeed ne kaha ke jis tarah Ibn Abbas raziAllahu anhuma hont hila kar dikhate thay , main tumhare samne isi tarah hilata hoon . Chunanche unhon ne apne hont hilaye . (Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke) is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «laa tuhar-rik bi-hee lisaanaka li-ta'-jala bi-hee , in-na alainaa jam-ahoo wa qur-aanahoo» yani ”tumhare seene mein Quran ka jama dena aur is ko parha dena hamara kaam hai jab hum (Jibrail alaihissalam ki zaban par) is ko parh chukein is waqt tum is ke parhne ki pairwi karo .“ Matlab yeh hai ke Jibrail alaihissalam ke parhte waqt kaan laga kar sunte raho aur khamosh raho , yeh hamara zimma hai ke hum tum se waisa hi parhwa dein ge . Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne kaha ke is aayat ke utarne ke baad jab Jibrail alaihissalam aaye (Quran sunate) to Aap kaan laga kar sunte . Jab Jibrail alaihissalam chale jaate to Aap logon ko isi tarah parh kar suna dete jaise Jibrail alaihissalam ne Aap ko parh kar sunaya thu .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، قال: حدثنا موسى بن ابي عائشة، قال: حدثنا سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله تعالى:" لا تحرك به لسانك لتعجل به [سورة القيامة آية 16]، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعالج من التنزيل شدة، وكان مما يحرك شفتيه، فقال ابن عباس: فانا احركهما لكم كما كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يحركهما، وقال سعيد: انا احركهما كما رايت ابن عباس يحركهما، فحرك شفتيه، فانزل الله تعالى: لا تحرك به لسانك لتعجل به [16] إن علينا جمعه وقرءانه [17] [سورة القيامة آية 16-17]، قال: جمعه له في صدرك وتقراه، فإذا قراناه فاتبع قرءانه [سورة القيامة آية 18]، قال: فاستمع له وانصت ثم إن علينا بيانه [سورة القيامة آية 19]، ثم إن علينا ان تقراه، فكان رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد ذلك إذا اتاه جبريل استمع، فإذا انطلق جبريل قراه النبي صلى الله عليه وسلم كما قراه".
Musa bin Ismail ne hum se Hadees bayan ki, un ko Abu ’Awaanah ne khabar di, un se Musa Ibn-e-Abi Aisha ne bayan ki, un se Sa’eed bin Jubair ne unhon ne Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se kalaam-e-ilaahi «لَا تُحَرِّكْ بِهِ لِسَانَكَ لِتَعْجَلَ بِهِ» aakhir tak ki tafseer ke silsile mein suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam nuzool-e-Quran ke waqt bahut sakhti mehsoos farmaaya karte the aur us ki (alaamaton) mein se ek yeh thi ke yaad karne ke liye Aap apne honton ko hilaate the. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha main apne hont hilaata hun jis tarah Aap hilaate the. Sa’eed kehte hain main bhi apne hont hilaata hun jis tarah Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ko main ne hilaate dekha. Phir unhon ne apne hont hilaaye. (Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha) phir yeh Aayat utri ke aye Muhammed! Quran ko jald jald yaad karne ke liye apni zabaan na hilaao. Us ka jama kar dena aur padha dena hamaara zimma hai. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma kehte hain yani Quran Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke dil main jama dena aur padha dena hamaare zimme hai. Phir jab hum padh chuken to us padhe huwe ki ittebaa’ karo. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain (is ka matlab yeh hai) ke Aap us ko khamoshi ke saath sunte raho. Us ke baad matlab samjha dena hamaare zimme hai. Phir yaqeenan yeh hamaari zimmedaari hai ke Aap us ko padho (yani us ko mehfooz kar sako) chunanche us ke baad jab Aap ke paas Jibrael Alaihissalam (Wahi le kar) aate to Aap (tawajjo se) sunte. Jab woh chale jaate to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam us (Wahi) ko usi tarah padhte jis tarah Jibrael Alaihissalam ne use padha tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4927
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا موسى بن ابي عائشة، وكان ثقة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا نزل عليه الوحي حرك به لسانه"، ووصف سفيان يريد ان يحفظه، فانزل الله لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16.
Hum se Humaydi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha hum se Musa bin Abi Aisha ne byaan kiya aur Musa siqa thay, unhon ne Saeed bin Jubayr se aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par wahi nazil hoti to Aap salla Allahu alaihi wasallam is par apni zaban hilaya karte thay. Sufyan ne kaha ke is hilaane se Aap ka maqsad wahi ko yaad karna hota tha. Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» ”Aap jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein, is ka jama kar dena aur is ka parhwa dena, yeh har do kaam to hamare zimma hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4929
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله: لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا نزل جبريل بالوحي وكان مما يحرك به لسانه وشفتيه، فيشتد عليه وكان يعرف منه، فانزل الله الآية التي في لا اقسم بيوم القيامة سورة القيامة آية 1 لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16 إن علينا جمعه وقرءانه سورة القيامة آية 17، قال: علينا ان نجمعه في صدرك وقرآنه فإذا قراناه فاتبع قرءانه سورة القيامة آية 18، فإذا انزلناه فاستمع ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19 علينا ان نبينه بلسانك، قال: فكان إذا اتاه جبريل اطرق فإذا ذهب قراه كما وعده الله عز وجل اولى لك فاولى توعد".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Jareer ne byaan kiya, un se Musa bin Abi Aisha ne, un se Saeed bin Jubayr ne, un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke irshad «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein“ ke mutalliq batlaya ke jab Jibraeel Aap par wahi nazil karte to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni zaban aur hont hilaya karte thay aur Aap par yeh bahut sakht guzarta, yeh Aap ke chehre se bhi zahir hota thu. Is liye Allah Ta'ala ne woh aayat nazil ki jo Surah «la uqsimu bi-yawmil qiyamati» mein hai yani «la tuhar-rik bihi lisanaka» al-aayat yani ”Aap is ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein. Yeh to hamare zimma hai is ka jama kar dena aur is ka parhwana, phir jab hum usay parhne lagein to Aap is ke peeche yaad karte jaya karein. Yani jab hum wahi nazil karein to Aap ghaur se sunein. Phir is ka byaan kara dena bhi hamare zimma hai.“ Yani yeh bhi hamare zimma hai ke hum usay Aap ki zabani logon ke samne byaan kara dein. Byaan kiya ke chunanche is ke baad jab Jibraeel alaihissalam wahi le kar aate to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho jate aur jab chale jate to parhte jaisa ke Allah Ta'ala ne Aap se waada kiya tha. Aayat «aula laka fa-aula» mein «tahdeedun» yani darana dhamkana murad hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5044
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن موسى بن ابي عائشة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، في قوله:"لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا نزل جبريل بالوحي وكان مما يحرك به لسانه وشفتيه فيشتد عليه، وكان يعرف منه فانزل الله الآية التي في لا اقسم بيوم القيامة سورة القيامة آية 1، لا تحرك به لسانك لتعجل به {16} إن علينا جمعه وقرءانه {17} فإذا قراناه فاتبع قرءانه {18} سورة القيامة آية 16-18 فإذا انزلناه فاستمع ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19، قال: إن علينا ان نبينه بلسانك، قال: وكان إذا اتاه جبريل اطرق، فإذا ذهب قراه كما وعده الله".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne byaan kiya , un se Musa bin Abu Aisha ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke farman «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» ”Aap Quran ko jalدی jaldi lene ke liye is par zaban ko na hilaya karein .“ Byaan kiya ke jab Jibraeel alaihissalam wahi le kar nazil hote to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni zaban aur hont hilaya karte thay . Is ki wajah se Aap ke liye wahi yaad karne mein bahut baar parta tha aur yeh Aap ke chehre se bhi zahir ho jata thu . Is liye Allah Ta'ala ne yeh aayat jo Surah «la uqsimu bi-yawmil qiyamati» mein hai , nazil ki ke Aap Quran ko jaldi jaldi lene ke liye is par zaban ko na hilaya karein yeh to hamare zimma hai is ka jama karna aur is ka parhwana to jab hum usay parhne lagein to Aap is ke peeche peeche parha karein phir Aap ki zaban se is ki tafseer byaan kara dena bhi hamare zimma hai .“ Rawi ne byaan kiya ke phir jab Jibraeel alaihissalam aate to Aap sar jhuka lete aur jab wapas jaate to parhte jaisa ke Allah ne Aap se yaad karwane ka waada kiya tha ke tere dilli mein jama dena is ko parha dena hamara kaam hai phir Aap is ke muwafiq parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة