الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {كل يوم هو فى شأن} :
Allah Taala ka (Surat Ar-Rahmaan mein) farmaan "Parwardigaar har din ek naya kaam kar raha hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7523
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباس، قال:" يا معشر المسلمين، كيف تسالون اهل الكتاب عن شيء؟ وكتابكم الذي انزل الله على نبيكم صلى الله عليه وسلم احدث الاخبار بالله محضا لم يشب، وقد حدثكم الله ان اهل الكتاب قد بدلوا من كتب الله وغيروا، فكتبوا بايديهم الكتب، قالوا: هو من عند الله ليشتروا بذلك ثمنا قليلا، اولا ينهاكم ما جاءكم من العلم عن مسالتهم فلا والله ما راينا رجلا منهم يسالكم عن الذي انزل عليكم".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Ubaidullah bin Abdullah ne khabar di aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Ae Musalmano! tum Ahl e Kitab se kisi masla mein kyun poochte ho . Tumhari kitab jo Allah Ta'ala ne tumhare Nabi salla Allahu alaihi wasallam par nazil ki hai woh Allah ke yahan se bilkul taza aayi hai , khalis hai is mein koi milawat nahi hui aur Allah Ta'ala ne khud tumhein bata diya hai ke Ahl e Kitab ne Allah kikitabon ko badal dala . Woh hath se ek kitab likhte aur dawa karte ke yeh Allah kitaraf se hai taake is ke zariye se thori poonji haasil karein ,tum ko jo Allahne Quran wa hadees ka ilm diya hai kiya woh tum ko is se mana nahi karta ke tum deen ki baatein Ahl e Kitab se poochho . Allah ki qasam! hum to in ke kisi aadmi ko nahi dekhte ke jo kuch tumhare oopar nazil hua hai is ke mutalliq wohtum se poochte hon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2685
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، قال: يا معشر المسلمين، كيف تسالون اهل الكتاب، وكتابكم الذي انزل على نبيه صلى الله عليه وسلم احدث الاخبار بالله تقرءونه لم يشب، وقد حدثكم الله ان اهل الكتاب بدلوا ما كتب الله، وغيروا بايديهم الكتاب، فقالوا: هو من عند الله، ليشتروا به ثمنا قليلا، افلا ينهاكم ما جاءكم من العلم عن مساءلتهم، ولا والله ما راينا منهم رجلا قط يسالكم عن الذي انزل عليكم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, Yunus se, un se Ibn Shihab ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha, Ae Musalmano! Ahl-e-Kitab se kyun sawalat karte ho. Halankay tumhari kitab jo tumhare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par nazil hui hai, Allah Ta'ala ki taraf se sab se baad mein nazil hui hai. Tum ise parhte ho aur is mein kisi qisam ki aamezish bhi nahi hui hai. Allah Ta'ala to tumhein pehle hi bata chuka hai ke Ahl-e-Kitab ne is kitab ko badal diya, jo Allah Ta'ala ne unhein di thi aur khud hi is mein taghayyur kar diya aur phir kehne lage ye kitab Allah ki taraf se hai. Un ka maqsad is se sirf ye tha ke is tarah thori poonji (duniya ki) hasil kar sakein pas kya jo ilm (Quran) tumhare paas aaya hai wo tum ko in (Ahl-e-Kitab se poochne ko nahi rokta. Allah ki qasam! hum ne un ke kisi aadmi ko kabhi nahi dekha ke wo in aayat ke mutalliq tum se poochta ho jo tum par (tumhare Nabi ke zariya) nazil ki gayi hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة