الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب ما جاء فى قول الله تعالى: {إن رحمة الله قريب من المحسنين} :
Allah Taala ke is irshaad ke baare mein rawaayaat ke "bilashuba Allah ki rehmat neko kaaron se qareeb hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7449
حدثنا عبيد الله بن سعد بن إبراهيم، حدثنا يعقوب، حدثنا ابي، عن صالح بن كيسان، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اختصمت الجنة والنار إلى ربهما، فقالت الجنة: يا رب، ما لها لا يدخلها إلا ضعفاء الناس وسقطهم، وقالت النار: يعني اوثرت بالمتكبرين، فقال الله تعالى للجنة: انت رحمتي، وقال للنار: انت عذابي، اصيب بك من اشاء ولكل واحدة منكما ملؤها، قال: فاما الجنة فإن الله لا يظلم من خلقه احدا وإنه ينشئ للنار من يشاء، فيلقون فيها، فتقول: هل من مزيد سورة ق آية 30 ثلاثا حتى يضع فيها قدمه، فتمتلئ ويرد بعضها إلى بعض وتقول: قط قط قط".
Hum se Ubaidullah bin Saad bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne, kaha mujh se meere walid ne, in se Salih bin Kaysan ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat wa dozakh ne apne Rabb ke huzoor mein jhagra kiya. Jannat ne kaha: Ae Rabb! kiya haal hai ke mujh mein kamzor aur gire pare log hi dakhil hon ge aur dozakh ne kaha ke mujh mein to dakhla ke liye mutakab-biron ko khaas kar diya gaya hai. Is par Allah Ta'ala ne jannat se kaha ke tu meri rahmat hai aur jahannum se kaha ke tu mera azab hai. Tere zariye main jise chahta hoon is mein mubtala karta hoon aur tum mein se har ek ki bharti hone wali hai. Kaha ke jahan tak jannat ka talluq hai to Allah apni makhlooq mein kisi par zhulm nahi kare ga aur dozakh ki is tarah se ke Allah apni makhlooq mein se jis ko chahe ga dozakh ke liye paida kare ga woh is mein daali jaye gi is ke baad bhi dozakh kahe gi aur kuch makhlooq hai (main abhi khali hoon) teen baar aisa hi ho ga, aakhir Parvardigar apna paon is mein rakh de ga, is waqt woh bhar jaye gi, ek par ek ulat kar simat jaye gi, kehne lage gi bas bas bas main bhar gayi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4849
حدثنا محمد بن موسى القطان، حدثنا ابو سفيان الحميري سعيد بن يحيى بن مهدي، حدثنا عوف، عن محمد، عن ابي هريرة، رفعه واكثر ما كان يوقفه ابو سفيان:" يقال لجهنم هل امتلات؟، وتقول: هل من مزيد؟، فيضع الرب تبارك وتعالى قدمه عليها، فتقول: قط قط".
Hum se Muhammad bin Musa Qattan ne byaan kiya , kaha hum se Abu Sufyan Humayri Saeed bin Yahya bin Mahdi ne byaan kiya , un se Auf ne , un se Muhammad ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawale se Abu Sufyan Humayri aksar is hadees ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mauqoofan zikr karte thay ke jahannum se poocha jaye ga to bhar bhi gayi ? Woh kahe gi «hal mim mazeedin» ke kuch aur bhi hai ? Phir Allah Tabarak o Ta'ala apna qadam is par rakkhe ga aur kahe gi ke bas bas .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4850
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تحاجت الجنة والنار، فقالت النار: اوثرت بالمتكبرين والمتجبرين، وقالت الجنة: ما لي لا يدخلني إلا ضعفاء الناس وسقطهم، قال الله تبارك وتعالى للجنة: انت رحمتي، ارحم بك من اشاء من عبادي، وقال للنار: إنما انت عذابي، اعذب بك من اشاء من عبادي، ولكل واحدة منهما ملؤها، فاما النار فلا تمتلئ حتى يضع رجله، فتقول: قط قط، فهنالك تمتلئ ويزوى بعضها إلى بعض، ولا يظلم الله عز وجل من خلقه احدا، واما الجنة، فإن الله عز وجل ينشئ لها خلقا".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Hammam ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jannat aur dozakh ne bahas ki , dozakh ne kaha main mutakabbiron aur zhaalimon ke liye khaas ki gayi hoon . Jannat ne kaha mujhe kya hua ke mere andar sirf kamzor aur kam rutba wale log dakhil hon ge . Allah Ta'ala ne is par jannat se kaha ke tu meri rahmat hai , tere zariye main apne bandon mein jis par chahoon raham karoon aur dozakh se kaha ke tu azab hai tere zariye main apne bandon mein se jise chahoon azab doon . Jannat aur dozakh donon bharein gi . Dozakh to is waqt tak nahi bhare gi jab tak Allah Rabb al-Izzat apna qadam is nahi rakh de ga . Is waqt woh bole gi ke bas bas bas! Aur is waqt bhar jaye gi aur is ka baaz hissa baaz doosre hisse par charh jaye ga aur Allah Ta'ala apne bandon mein kisi par zulm nahi kare ga aur jannat ke liye Allah Ta'ala ek makhlooq paida kare ga «wa sabbih bi-hamdi rabbika qabla tuloo-ish-shamsi wa qablal ghuroobi» ”aur apne Rabb ki hamd o tasbeeh karte rahiye sooraj ke nikalne se pehle aur is ke chhupne se pehle .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة