الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وجوه يومئذ ناضرة إلى ربها ناظرة} :
Allah Taala ka (Surat Al-Qiyaamah mein) irshaad "us din baaz chehre turo-taaza honge, woh apne Rabb ko dekhne wale honge, ya dekh rahe honge".
Show diacritics
Hadith Number: 7444
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا عبد العزيز بن عبد الصمد، عن ابي عمران، عن ابي بكر بن عبد الله بن قيس، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" جنتان من فضة آنيتهما وما فيهما، وجنتان من ذهب آنيتهما وما فيهما وما بين القوم وبين ان ينظروا إلى ربهم إلا رداء الكبر على وجهه في جنة عدن".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abd-ul-Samad ne bayan kiya, in se Abu Imran ne, in se Abu Bakr bin Abdullah bin Qays ne, in se in ki walid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”do jan-natein aaisi hon gi jo khud aur is mein saara saman chaandi ka ho ga aur do jan-natein aaisi hon gi jo khud aur is ka saara saman sone ka ho ga aur Jannat e Adn mein qaum aur Allah ke deedar ke darmiyan sirf chadar e kibriya-i rukawat ho gi jo Allah Rabb-ul-Izzat ke munh par pari ho gi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4878
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا عبد العزيز بن عبد الصمد العمي، حدثنا ابو عمران الجوني، عن ابي بكر بن عبد الله بن قيس،عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" جنتان من فضة آنيتهما وما فيهما، وجنتان من ذهب آنيتهما وما فيهما، وما بين القوم وبين ان ينظروا إلى ربهم إلا رداء الكبر على وجهه في جنة عدن".
Hum se Abdullah bin Abi al-Aswad ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Abdus Samad al-Ammi ne byaan kiya, kaha hum se Abu Imran al-Jawni ne byaan kiya, un se Abu Bakr bin Abdullah bin Qays ne aur un se un ke walid (Abdullah bin Qays Abu Musa Ash'ari) ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (jannat mein) do bagh hon ge jin ke bartan aur tamam doosri cheezin chaandi ki hon gi aur do doosre bagh hon ge jin ke bartan aur tamam doosri cheezin sone ke hon ge aur Jannat e Adn se jannatiyon ke apne Rabb ke deedar mein koi cheez siwaye kibriyai ki chadar ke jo is ke munh par ho gi, haail na ho gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة