الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وهو العزيز الحكيم} :
Allah Taala ka irshaad "aur wahi ghaalib hai, hikmat wala".
Show diacritics
Hadith Number: 7384
حدثنا ابن ابي الاسود، حدثنا حرمي، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يزال يلقى في النار". ح وقال لي خليفة، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس، وعن معتمر، سمعت ابي، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يزال يلقى فيها، وتقول: هل من مزيد حتى يضع فيها رب العالمين قدمه، فينزوي بعضها إلى بعض، ثم تقول: قد قد بعزتك وكرمك ولا تزال الجنة تفضل حتى ينشئ الله لها خلقا، فيسكنهم فضل الجنة".
Hum se Abdullah bin Abi al-Suwad ne bayan kiya, kaha hamase Harami bin Ammarah ne, kaha hamase Shubah ne, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”logon ko dozakh mein dala jaye ga (doosri sanad) aur mujh se Khaleefa bin Khay-yaat ne bayan kiya, kaha hamase Yazid bin Zuray ne bayan kiya, kaha hamase Saeed bin Abi Arooba ne, in se Qatadah ne, in se Anas razi Allahu anhune. (Teesri sanad) aur Khaleefa bin Khay-yaat ne is hadees ko Mutamir bin Sulayman se riwayat kiya, kaha main ne apne walid se suna, unhon ne Qatadah se, unhon ne Anas razi Allahu anhuse ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”dozakhiyon ko barabar dozakh mein dala jata rahe ga aur woh kahe jaye gi ke kiya abhi aur hai. Yahan tak ke Rabb-ul-Aalameen is par apna qadam rakh de ga aur phir is ka baaz baaz se simat jaye ga aur is waqt woh kahe gi ke bas bas ‘ teri izzat aur karam ki qasam! aur jannat mein jagah baqi reh jaye gi. Yahan tak ke Allahis ke liye ek aur makhlooq paida kar de ga aur woh log jannat ke baqi hisse mein rahein ge.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4848
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا حرمي بن عمارة، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يلقى في النار، وتقول: هل من مزيد؟ حتى يضع قدمه، فتقول: قط قط".
Hum se Abdullah bin Abi al-Aswad ne byaan kiya , kaha hum se Harami ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahannum mein dozakhiyon ko dala jaye ga aur woh kahe gi «hal mim mazeedin» ke kuch aur bhi hai ? Yahan tak ke Allah Rabb al-Izzat apna qadam is par rakkhe ga aur woh kahe gi ke bas bas .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6661
حدثنا آدم، حدثنا شيبان، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تزال جهنم، تقول: هل من مزيد؟ حتى يضع رب العزة فيها قدمه، فتقول: قط قط وعزتك، ويزوى بعضها إلى بعض"، رواه شعبة، عن قتادة.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shayban ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jahannum barabar yahi kehti rahe gi ke kya kuch aur hai kya kuch aur hai ? Aakhir Allah Tabarak wa Ta'ala apna qadam is mein rakh de ga to woh keh uthe gi bas bas main bhar gayi , teri izzat ki qasam! Aur is ka baaz hissa baaz ko khane lage ga .“ Is riwayat ko Shubah ne Qatadah se naqal kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة