الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التوحيد
Kitab: Allah ki tawheed, us ki zaat aur sifat ke bayan mein
باب ما جاء فى دعاء النبى صلى الله عليه وسلم أمته إلى توحيد الله تبارك وتعالى:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka apni ummat ko Allah Tabarak wa Taala ki tauheed ki taraf dawat dena.
Show diacritics
Hadith Number: 7371
حدثنا ابو عاصم حدثنا زكرياء بن إسحاق عن يحيى بن عبد الله بن صيفي عن ابي معبد عن ابن عباس رضي الله عنهما ان النبي صلى الله عليه وسلم بعث معاذا إلى اليمن.
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zakariya bin Ishaq ne bayan kiya, in se Yahya bin Abdullah bin Saifi ne bayan kiya, in se Abu Ma'bad ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne Maaz bin Jabal razi Allahu anhuko Yaman bheija.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1395
حدثنا ابو عاصم الضحاك بن مخلد، عن زكرياء بن إسحاق، عن يحيى بن عبد الله بن صيفي، عن ابي معبد، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم بعث معاذا رضي الله عنه إلى اليمن , فقال: ادعهم إلى شهادة ان لا إله إلا الله , واني رسول الله، فإن هم اطاعوا لذلك فاعلمهم ان الله قد افترض عليهم خمس صلوات في كل يوم وليلة، فإن هم اطاعوا لذلك فاعلمهم ان الله افترض عليهم صدقة في اموالهم تؤخذ من اغنيائهم وترد على فقرائهم".
Hum se Abu Asim Dahhak bin Makhlad ne byaan kiya ‘ un se Zakariyya bin Ishaq ne byaan kiya ‘ un se Yahya bin Abdullah bin Saifi ne byaan kiya , un se Abu Mabad ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jab Maaz razi Allahu anhu ko Yemen (ka haakim bana kar) bheja to farmaya ke tum unhein is kalma ki gawahi ki dawat dena ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur yeh ke main Allah ka Rasool hoon . Agar woh log yeh baat maan lein to phir unhein batana ke Allah Ta'ala ne un par rozana paanch waqt ki namazein farz ki hain . Agar woh log yeh baat bhi maan lein to phir unhein batana ke Allah Ta'ala ne un ke maal par kuch sadqa farz kiya hai jo un ke maaldar logon se le kar unhein ke muhtajon mein lauta diya jaye ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة