الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: لا تسألوا أهل الكتاب عن شيء :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmaan ke "ahl-e-kitaab se deen ki koi baat na poochho".
Hadith Number: 7363
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم، اخبرنا ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، ان ابن عباس رضي الله عنهما قال:" كيف تسالون اهل الكتاب عن شيء وكتابكم الذي انزل على رسول الله صلى الله عليه وسلم احدث تقرءونه محضا لم يشب؟ وقد حدثكم ان اهل الكتاب بدلوا كتاب الله وغيروه وكتبوا بايديهم الكتاب، وقالوا هو من عند الله ليشتروا به ثمنا قليلا سورة البقرة آية 79 الا ينهاكم ما جاءكم من العلم عن مسالتهم؟ لا والله ما راينا منهم رجلا يسالكم عن الذي انزل عليكم".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hamako Ibn Shihab ne khabar di, unhein Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne aur in se Abdullah bin Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke tum Ahl e Kitab se kisi cheez ke baare mein kyun poochte ho jabke tumhari kitab jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par nazil hui woh taza bhi hai aur mahfooz bhi aur tumhein is ne bata bhi diya ke Ahl e Kitab ne apna deen badal dala aur Allah kikitab mein tabdeeli kar di aur usay apne hath se az-khud bana kar likha aur kaha ke yeh Allah kitaraf se hai taake is ke zariye duniya ka thora sa maal kama lein. Tumhare paas (Quran wa hadees ka) jo ilm hai woh tumhein in se poochne se mana karta hai. Wallah! main to nahi dekhta ke Ahl e Kitab mein se koi tum se is ke baare mein poochta ho jo tum par nazil kiya gaya ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2685
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، قال: يا معشر المسلمين، كيف تسالون اهل الكتاب، وكتابكم الذي انزل على نبيه صلى الله عليه وسلم احدث الاخبار بالله تقرءونه لم يشب، وقد حدثكم الله ان اهل الكتاب بدلوا ما كتب الله، وغيروا بايديهم الكتاب، فقالوا: هو من عند الله، ليشتروا به ثمنا قليلا، افلا ينهاكم ما جاءكم من العلم عن مساءلتهم، ولا والله ما راينا منهم رجلا قط يسالكم عن الذي انزل عليكم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, Yunus se, un se Ibn Shihab ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha, Ae Musalmano! Ahl-e-Kitab se kyun sawalat karte ho. Halankay tumhari kitab jo tumhare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par nazil hui hai, Allah Ta'ala ki taraf se sab se baad mein nazil hui hai. Tum ise parhte ho aur is mein kisi qisam ki aamezish bhi nahi hui hai. Allah Ta'ala to tumhein pehle hi bata chuka hai ke Ahl-e-Kitab ne is kitab ko badal diya, jo Allah Ta'ala ne unhein di thi aur khud hi is mein taghayyur kar diya aur phir kehne lage ye kitab Allah ki taraf se hai. Un ka maqsad is se sirf ye tha ke is tarah thori poonji (duniya ki) hasil kar sakein pas kya jo ilm (Quran) tumhare paas aaya hai wo tum ko in (Ahl-e-Kitab se poochne ko nahi rokta. Allah ki qasam! hum ne un ke kisi aadmi ko kabhi nahi dekha ke wo in aayat ke mutalliq tum se poochta ho jo tum par (tumhare Nabi ke zariya) nazil ki gayi hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة