الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الأحكام التى تعرف بالدلائل، وكيف معنى الدلالة وتفسيرها:
Dalaail shariyah se ahkaam ka nikaala jaana aur dalaalat ke ma'ni aur us ki tafseer kya ho gi?
Hadith Number: 7360
حدثني عبيد الله بن سعد بن إبراهيم، حدثنا ابي، وعمي، قالا: حدثنا ابي، عن ابيه، اخبرني محمد بن جبير، ان اباه جبير بن مطعم، اخبره،" ان امراة اتت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فكلمته في شيء، فامرها بامر، فقالت: ارايت يا رسول الله، إن لم اجدك؟، قال: إن لم تجديني فاتي ابا بكر"، زاد لنا الحميدي، عن إبراهيم بن سعد كانها تعني الموت.
`Mujh se Ubaidullah bin Saad bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha mujh se mere walid aur chacha ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya aur un se un ke walid ne, unhein Muhammad bin Jubair ne khabar di aur unhein un ke walid Jubair bin Mut'im Radi Allahu Anhu ne khabar di ke ek khatoon Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas aayin to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein ek hukm diya. Unhon ne arz kiya: ya Rasul Allah! agar mein Aap ko na paon to phir kya karoon gi? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jab mujhe na pana to Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke paas jaana. Humaidi ne Ibrahim bin Saad se yeh izafa kiya ke galiban khatoon ki murad wafat thi. Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke Humaidi ne is riwayat mein Ibrahim bin Saad se itna barhaya hai ke Aap ko na paon, is se murad yeh hai ke Aap ki wafat ho jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3659
حدثنا الحميدي , ومحمد بن عبيد الله، قالا: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، قال: اتت امراة النبي صلى الله عليه وسلم فامرها ان ترجع إليه، قالت: ارايت إن جئت ولم اجدك كانها تقول الموت، قال صلى الله عليه وسلم:" إن لم تجديني فاتي ابا بكر".
Hum se Humaydi aur Muhammad bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibrahim bin Sa'd ne bayan kiya, un se Muhammad bin Jubair bin Mut'im ne aur un se in ke walid ne bayan kiya ke ek aurat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aayi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne un se farmaya ke phir aana. Us ne kaha: Agar mein aaun aur Aap ko na paun to? Goya woh wafat ki taraf ishara kar rahi thi. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke agar tum mujhe na pa sako to Abu Bakr ke pas chali aana.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة