الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب إذا اجتهد العامل أو الحاكم فأخطأ خلاف الرسول من غير علم، فحكمه مردود:
Jab koi aamil ya haakim ijtihaad kare aur la-ilmi mein Rasool ke hukm ke khilaaf kar jaaye to us ka faisla naafiz nahin ho ga.
Show diacritics
Hadith Number: 7350
حدثنا إسماعيل، عن اخيه، عن سليمان بن بلال، عن عبد المجيد بن سهيل بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع سعيد بن المسيب، يحدث ان ابا سعيد الخدري وابا هريرة حدثاه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" بعث اخا بني عدي الانصاري واستعمله على خيبر، فقدم بتمر جنيب، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: اكل تمر خيبر هكذا؟، قال: لا والله يا رسول الله، إنا لنشتري الصاع بالصاعين من الجمع، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تفعلوا ولكن مثلا بمثل، او بيعوا هذا، واشتروا بثمنه من هذا، وكذلك الميزان".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, un se un ke bhai Abu Bakr ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, un se Abdul Majeed bin Suhail bin Abdur Rahman bin Auf ne bayan kiya, unhon ne Said bin Musayyam se suna, wo Abu Said Khudri aur Abu Hurairah Radi Allahu Anhuma se bayan karte thay ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Bani Adi al-Ansari ke ek sahab Sawda bin Aziya ko Khaibar ka aamil bana kar bheja to wo umda qism ki khajoor wasool kar ke laye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kya Khaibar ki tamam khajoorein aisi hi hain? Unhon ne kaha ke nahi ya Rasul Allah! Allah ki qasam! hum aisi ek saa' khajoor do saa' (kharab) khajoor ke badle khareed lete hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke aisa na kiya karo balki (jins ko jins ke badle) barabar barabar mein khareedo, ya yun karo ke raddi khajoor naqdi bech dalo phir yeh khajoor is ke badle khareed lo, isi tarah har cheez ko jo tol kar bikti hai is ka hukm in hi cheezon ka hai jo naap kar bikti hain.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2201
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن عبد المجيد بن سهيل بن عبد الرحمن، عن سعيد بن المسيب، عن ابي سعيد الخدري، وعن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم استعمل رجلا على خيبر فجاءه بتمر جنيب، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اكل تمر خيبر هكذا؟ قال: لا، والله يا رسول الله، إنا لناخذ الصاع من هذا بالصاعين، والصاعين بالثلاثة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: لا تفعل، بع الجمع بالدراهم، ثم ابتع بالدراهم جنيبا".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdul Majeed Bin Sahl Bin Abdur Rahman ne, un se Saeed Bin Musayyab ne, un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Khaibar mein ek shakhs ko tehseel-dar banaya. Wo sahab ek umda qism ki khajoor laye. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya ke kya Khaibar ki tamam khajoor isi tarah ki hoti hain. Unhon ne jawab diya ke nahi Allah ki qasam, ya Rasul Allah! hum to isi tarah ek saa khajoor (is se ghatiya khajooron ke) do saa de kar khareedte hain. Aur do saa teen saa ke badle mein lete hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke aisa na karo. Albatta ghatiya khajoor ko pehle bech kar in paison se achi qism ki khajoor khareed sakte ho
.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2202