الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ إِذَا اجْتَهَدَ الْعَامِلُ أَوِ الْحَاكِمُ فَأَخْطَأَ خِلاَفَ الرَّسُولِ مِنْ غَيْرِ عِلْمٍ، فَحُكْمُهُ مَرْدُودٌ:
Chapter. If a governor or a ruler gives a verdict based on his opinion and the verdict proves to be wrong and disagrees with the verdict of Allah’s Messenger (p.b.u.h.), but he is unaware of that; then his verdict will be rejected.
Hadith Number: Q7350
لقول النبي صلى الله عليه وسلم: من عمل عملا ليس عليه امرنا فهو رد.
Kyunke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya tha ke jis ne koi aisa kaam kiya jis ke bare mein hamara koi faisla nahi tha to wo radd hai.
Hadith Number: 7350
حدثنا إسماعيل، عن اخيه، عن سليمان بن بلال، عن عبد المجيد بن سهيل بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع سعيد بن المسيب، يحدث ان ابا سعيد الخدري وابا هريرة حدثاه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" بعث اخا بني عدي الانصاري واستعمله على خيبر، فقدم بتمر جنيب، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: اكل تمر خيبر هكذا؟، قال: لا والله يا رسول الله، إنا لنشتري الصاع بالصاعين من الجمع، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تفعلوا ولكن مثلا بمثل، او بيعوا هذا، واشتروا بثمنه من هذا، وكذلك الميزان".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, un se un ke bhai Abu Bakr ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, un se Abdul Majeed bin Suhail bin Abdur Rahman bin Auf ne bayan kiya, unhon ne Said bin Musayyam se suna, wo Abu Said Khudri aur Abu Hurairah Radi Allahu Anhuma se bayan karte thay ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Bani Adi al-Ansari ke ek sahab Sawda bin Aziya ko Khaibar ka aamil bana kar bheja to wo umda qism ki khajoor wasool kar ke laye. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne poocha kya Khaibar ki tamam khajoorein aisi hi hain? Unhon ne kaha ke nahi ya Rasul Allah! Allah ki qasam! hum aisi ek saa' khajoor do saa' (kharab) khajoor ke badle khareed lete hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke aisa na kiya karo balki (jins ko jins ke badle) barabar barabar mein khareedo, ya yun karo ke raddi khajoor naqdi bech dalo phir yeh khajoor is ke badle khareed lo, isi tarah har cheez ko jo tol kar bikti hai is ka hukm in hi cheezon ka hai jo naap kar bikti hain.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7351