الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Hadith Number: 7342
حدثني ابو كريب، حدثنا ابو اسامة، حدثنا بريد، عن ابي بردة، قال: قدمت المدينة فلقيني عبد الله بن سلام، فقال لي: انطلق إلى المنزل، فاسقيك في قدح شرب فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم، وتصلي في مسجد صلى فيه النبي صلى الله عليه وسلم، فانطلقت معه فسقاني سويقا، واطعمني تمرا، وصليت في مسجده".
`Hum se Abu Kuraib ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha hum se Buraid ne bayan kiya, kaha ke mein Madinah Munawwara aaya aur Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu se meri mulaqat hui to unhon ne kaha ke mere saath ghar chalo to mein tumhein is pyale mein pilaon ga jis mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne piya tha aur phir hum is namaz parhne ki jagah namaz parhein ge jahan Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne namaz parhi thi. Chunancha mein un ke saath gaya aur unhon ne mujhe sattu pilaya aur khajoor khilayi aur mein ne un ke namaz parhne ki jagah namaz parhi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3814
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن سعيد بن ابي بردة، عن ابيه , اتيت المدينة فلقيت عبد الله بن سلام رضي الله عنه، فقال:" الا تجيء فاطعمك سويقا وتمرا وتدخل في بيت"، ثم قال:" إنك بارض الربا بها فاش إذا كان لك على رجل حق، فاهدى إليك حمل تبن او حمل شعير او حمل قت فلا تاخذه، فإنه ربا" , ولم يذكر النضر , وابو داود , ووهب عن شعبة البيت".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne, un se Saeed Bin Abi Burdah ne aur un se un ke walid ne ke mein Madinah Munawwarah hazir hua to mein ne Abdullah Bin Salam Radi Allahu Anhu se mulaqat ki, unhon ne kaha, aao tumhein mein sattu aur khajoor khalaoon ga aur tum ek (ba'azmat) makan mein dakhil ho ge (ke Rasul Sallallahu Alaihi Wasallam bhi is mein tashreef le gaye thay) phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhara qiyam ek aise mulk in mein hai jahan sudi mamlat bahut aam hain agar tumhara kisi shakhs par koi haqq ho aur phir wo tumhein ek tinke ya jau ke ek dane ya ek ghaas ke barabar bhi hadiya de to ise qabool na karna kyunke wo bhi sud hai. Nazr, Abu Dawood aur Wahab ne (apni riwayaton mein) «Al-Baitu» (ghar) ka zikr nahi kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة