الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Hadith Number: 7337
حدثنا قتيبة، عن ليث، عن نافع، عن ابن عمر. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، وابن ابي غنية، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" سمعت عمر على منبر النبي صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, un se Laith ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne (doosri sanad) aur mujh se Ishaq ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di aur Ibn Abi Ganiyya ne khabar di, unhein Abu Hayyan ne, unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Umar Radi Allahu Anhu ko Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar par (khutba dete) suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4619
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر، قال: سمعت عمر رضي الله عنه على منبر النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" اما بعد ايها الناس، إنه نزل تحريم الخمر، وهي من خمسة: من العنب، والتمر، والعسل، والحنطة، والشعير، والخمر ما خامر العقل".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzali ne bayan kiya , unhone kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di , unhein Abu Hayyan ne , unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar rz ne bayan kiya ke main ne Umar rz se suna , woh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke minbar par khare farma rahe thay . Ammaba'd! Ae logo! Jab sharab ki hurmat nazil hui to woh panch cheezon se tayyar ki jati thi . Angoor , khajoor , shehad , gehun aur jau se aur sharab har woh peene ki cheez hai jo aql ko zail kar de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة