الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب ما ذكر النبى صلى الله عليه وسلم وحض على اتفاق أهل العلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne ulama ke ittefaaq karne ka jo zikr farmaya hai us ki targhib di hai aur Makkah aur Madinah ke ulama ke ijmaa ka bayaan.
Hadith Number: 7327
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت لعبد الله بن الزبير:" ادفني مع صواحبي ولا تدفني مع النبي صلى الله عليه وسلم في البيت، فإني اكره ان ازكى.
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham bin Urwa ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke unhon ne Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma se kaha tha ke mujhe intiqal ke baad meri saukanon ke saath dafan karna. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke saath hujra mein dafan mat karna kyunke mein pasand nahi karti ke meri aap ki aur biwiyon se zyada paki bayan ki jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1391
وعن هشام , عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" انها اوصت عبد الله بن الزبير رضي الله عنهما لا تدفني معهم، وادفني مع صواحبي بالبقيع لا ازكى به ابدا.
Hisham apne walid se aur woh Aisha razi Allahu anha se riwayat karte hain ke Aap ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko wasiyat ki thi ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saathiyon ke saath dafan na karna . Balke meri doosri saukanon ke saath Baqi-ul-Gharqad mein mujhe dafan karna . Main yeh nahi chahti ke un ke saath meri bhi tareef hua kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة