الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
باب الاقتداء بأفعال النبى صلى الله عليه وسلم:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ke kaamon ki pairwi karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7298
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" اتخذ النبي صلى الله عليه وسلم خاتما من ذهب، فاتخذ الناس خواتيم من ذهب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إني اتخذت خاتما من ذهب فنبذه، وقال: إني لن البسه ابدا، فنبذ الناس خواتيمهم".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Abdullah bin Dinar ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sone ki ek angoothi banwayi to doosre logon ne bhi sone ki angoothiyaan banwa lein, phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne sone ki ek angoothi banwayi thi, phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne phenk di aur farmaya ke main usay kabhi nahi pehnoon ga aur logon ne bhi apni angoothiyaan phenk dein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5865
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اتخذ خاتما من ذهب وجعل فصه مما يلي كفه، فاتخذه الناس، فرمى به واتخذ خاتما من ورق او فضة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya , in se Ubaidullah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Nafi ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne sone ki ek angoothi banwayi aur is ka nageena hatheli ki jaanib rakkha phir kuch doosre logon ne bhi isi tarah ki angoothiyaan banwa lein . Aakhir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay phenk diya aur chaandi ki angoothi banwa li .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة