الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
( باب: )
...
Show diacritics
Hadith Number: 7270
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" ضمني إليه النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: اللهم علمه الكتاب".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, un se Khalid Hazza ne, un se Ikrima ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe apne seene se lagaya aur farmaya ”Ae Allah! ise Quran ka ilm sikha.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 75
حدثنا ابو معمر، قال: حدثنا عبد الوارث، قال: حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال: ضمني رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال:" اللهم علمه الكتاب".
Hum se Abu Ma’mar ne bayan kiya, un se Abdul Waris ne, un se Khalid ne ’Ikrimah ke waaste se bayan kiya, woh Ibne-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain. Unhon ne farmaaya ke (ek martaba) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe (seene se) laga liya aur dua dete huwe farmaaya ke "Aye Allah ise ilm-e-kitaab (Quran) ata farmaaiyo".


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 85
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، عن سالم، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض العلم، ويظهر الجهل والفتن، ويكثر الهرج، قيل: يا رسول الله، وما الهرج؟ فقال: هكذا بيده، فحرفها كانه يريد القتل".
Hum se Makki Ibn-e-Ibrahim ne bayan kiya, unhein Hanzalah ne Salim se khabar di, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (ek waqt aisa aayega ke jab) ilm utha liya jaayega. Jahaalat aur fitne phail jaayenge aur Harj badh jaayega. Aap se poocha gaya ke ya RasoolAllah! Harj se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath ko harkat de kar farmaaya is tarah, goya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us se qatl muraad liya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة