الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاعتصام بالكتاب والسنة
Kitab: Allah aur Sunnat-e-Rasool (S.A.W) ko mazbooti se thame rehna
( باب: )
...
Show diacritics
Hadith Number: 7268
حدثنا الحميدي حدثنا سفيان عن مسعر وغيره عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب قال: قال رجل من اليهود لعمر يا امير المؤمنين لو ان علينا نزلت هذه الآية: {اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا} لاتخذنا ذلك اليوم عيدا. فقال عمر إني لاعلم اي يوم نزلت هذه الآية، نزلت يوم عرفة في يوم جمعة. سمع سفيان من مسعر ومسعر قيسا وقيس طارقا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Mis'ar bin Kidam aur un ke ilawa (Sufyan Sauri) ne, un se Qais bin Muslim ne, un se Tariq bin Shihab ne bayan kiya ke ek Yahudi (Ka'b Ahbar Islam lane se pehle) ne Umar Radi Allahu Anhu se kaha: ay Ameerul Momineen! agar hamare yahan Surah al-Ma'idah ki yeh ayat nazil hoti «al-Yauma akmaltu lakum deenakum wa atmamtu alaikum ni'mati wa razeetu lakumul Islama deenan» ke ”Aaj mein ne tumhare liye tumhare deen ko mukammal kar diya aur tum par apni ni'mat ko poora kar diya aur tumhare liye Islam ko ba-taur deen ke pasand kar liya.“ to hum is din ko eid (khushi) ka din bana lete. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein jaanta hoon ke yeh ayat kis din nazil hui thi, Arafa ke din nazil hui aur Jumua ka din tha. Imam Bukhari ne kaha yeh riwayat Sufyan ne Mis'ar se suni, Mis'ar ne Qais se suna aur Qais ne Tariq se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 45
حدثنا الحسن بن الصباح، سمع جعفر بن عون، حدثنا ابو العميس، اخبرنا قيس بن مسلم، عن طارق بن شهاب، عن عمر بن الخطاب،" ان رجلا من اليهود، قال له: يا امير المؤمنين، آية في كتابكم تقرءونها لو علينا معشر اليهود نزلت لاتخذنا ذلك اليوم عيدا، قال: اي آية؟ قال: اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا سورة المائدة آية 3، قال عمر: قد عرفنا ذلك اليوم والمكان الذي نزلت فيه على النبي صلى الله عليه وسلم وهو قائم بعرفة يوم جمعة".
Hum se is Hadees ko Hasan bin Sabbaah ne bayan kiya, unhon ne Ja’far bin Aaun se suna, woh Abul Umais se bayan karte hain, unhein Qais bin Muslim ne Tariq bin Shihaab ke waaste se khabar di. Woh Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke ek yahoodi ne un se kaha ke aye Ameer-ul-momineen! Tumhaari kitaab (Quran) mein ek Aayat hai jise tum padhte ho. Agar woh hum yahoodiyon par naazil hoti to hum us (ke nuzool ke) din ko yaum-e-eid bana lete. Aap ne poocha woh kaun si Aayat hai? Us ne jawaab diya (Surah Al-Maidah ki yeh Aayat ke) "Aaj main ne tumhaare deen ko mukammal kar diya aur apni ne’mat tum par tamaam kar di aur tumhaare liye deen Islam pasand kiya" Umar Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke hum us din aur us maqam ko (khoob) jaante hain jab yeh Aayat Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam par naazil hue (us waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Arafaat mein Juma’ ke din khade huwe the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة