الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أخبار الآحاد
Kitab: Khabar-e-Wahid ke bayan mein
باب ما جاء فى إجازة خبر الواحد الصدوق فى الأذان والصلاة والصوم والفرائض والأحكام:
Ek sache shakhs ki khabar par azaan, namaz, roze faraiz saare ahkaam mein amal hona.
Show diacritics
Hadith Number: 7256
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن يحيى بن سعيد، عن عبيد بن حنين، عن ابن عباس، عن عمر رضي الله عنهم، قال:" وكان رجل من الانصار إذا غاب عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهدته اتيته بما يكون من رسول الله صلى الله عليه وسلم، وإذا غبت عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وشهده اتاني بما يكون من رسول الله صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Yahya bin Said ne bayan kiya, un se Ubaid bin Hunain ne bayan kiya, un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Umar Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke qabila-e-Ansar ke ek sahab thay (Aus bin Khauli naam) jab wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis mein shirkat na kar sakte aur mein shareek hota to unhein aa kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis ki khabrein batata aur jab mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis mein shareek na ho pata aur wo shareek hote to wo aa kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki majlis ki khabar mujhe batate.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 89
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح قال ابو عبد الله، وقال ابن وهب: اخبرنا يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن ابي ثور، عن عبد الله بن عباس، عن عمر، قال:" كنت انا وجار لي من الانصار في بني امية بن زيد وهي من عوالي المدينة، وكنا نتناوب النزول على رسول الله صلى الله عليه وسلم ينزل يوما وانزل يوما، فإذا نزلت جئته بخبر ذلك اليوم من الوحي وغيره، وإذا نزل فعل مثل ذلك، فنزل صاحبي الانصاري يوم نوبته فضرب بابي ضربا شديدا، فقال: اثم هو، ففزعت فخرجت إليه، فقال: قد حدث امر عظيم، قال: فدخلت على حفصة فإذا هي تبكي، فقلت: طلقكن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قالت: لا ادري، ثم دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت وانا قائم: اطلقت نساءك، قال: لا، فقلت: الله اكبر".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, unhein Sho’aib ne Zohri se khabar di (ek doosri sanad se) Imam Bukhari Rahimahullah kehte hain ke Ibn-e-Wahb ko Younus ne Ibn-e-Shihaab se khabar di, woh Ubaidullah bin Abdullah Ibn-e-Abi Thaur se naql karte hain, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se, woh Umar Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke main aur mera ek ansaari padosi dono atraaf-e-Madinah ke ek gaaon Bani Umaiyah bin Zaid mein rehte the jo Madinah ke (poorab ki taraf) baland gaaon mein se hai. Hum dono baari baari Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat shareef mein haazir huwa karte the. Ek din woh aata, ek din main aata. Jis din main aata us din ki Wahi ki aur (Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki farmoodah) deegar baaton ki us ko khabar de deta tha aur jab woh aata tha to woh bhi isi tarah karta. To ek din woh mera ansaari saathi apni baari ke roz haazir-e-khidmat huwa (jab waapas aaya) to us ne mera darwaaza bahut zor se khatkhataaya aur (mere baare mein poocha ke) kya Umar yahan hain? Main ghabra kar us ke paas aaya. Woh kehne laga ke ek bada mu’aamla pesh aa gaya hai. (Yani Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni biwiyon ko talaaq de di hai) phir main (apni beti) Hafsa ke paas gaya, woh ro rahi thi. Main ne poocha, kya tumhein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne talaaq de di hai? Woh kehne lagi main nahi jaanti. Phir main Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa. Main ne khade khade kaha ke kya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni biwiyon ko talaaq de di hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya nahi. (Yeh afwaah ghalat hai) tab main ne (ta’jjub se) kaha «Allahu Akbar» Allah bahut bada hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة