الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التمني
Kitab: Naik tareen arzuon ke jaiz hone ke bayan mein
باب ما يجوز من اللو:
Lafz "agar magar" ke istemaal ka joaz.
Hadith Number: 7245
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، عن عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار ولو سلك الناس واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار وشعبها"، تابعه ابو التياح، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم في الشعب.
`Hum se Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Amr bin Yahya ne, un se Abbad bin Tamim ne aur un se Abdullah bin Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke agar hijrat na hoti to mein Ansar ka ek fard hota aur agar log kisi wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga. Is riwayat ki mutabi'at Abul Tayyah ne ki, un se Anas Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Is mein bhi darre ka zikr hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3779
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، او قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" لو ان الانصار سلكوا واديا او شعبا لسلكت في وادي الانصار , ولولا الهجرة لكنت امرا من الانصار"، فقال ابو هريرة: ما ظلم بابي وامي آووه ونصروه , او كلمة اخرى.
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ya (yun bayan kiya ke) Abu-ul-Qasim Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Ansar jis waadi ya ghaati mein jayein to mein bhi unhein ki waadi mein jaoon ga. Aur agar mein hijrat na karta to mein Ansar ka ek fard hona pasand karta. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha aap par mere maan baap qurban hon aap ne ye koi zulm wali baat nahi farmai aap ko Ansar ne apne yahan theheraya aur aap ki madad ki thi ya Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne (is ke hum maani) aur koi doosra kalma kaha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4330
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد بن عاصم، قال: لما افاء الله على رسوله صلى الله عليه وسلم يوم حنين قسم في الناس في المؤلفة قلوبهم، ولم يعط الانصار شيئا، فكانهم وجدوا إذ لم يصبهم ما اصاب الناس، فخطبهم، فقال:" يا معشر الانصار، الم اجدكم ضلالا فهداكم الله بي، وكنتم متفرقين فالفكم الله بي، وعالة فاغناكم الله بي"، كلما قال شيئا، قالوا: الله ورسوله امن، قال:" ما يمنعكم ان تجيبوا رسول الله صلى الله عليه وسلم؟" قال: كلما قال شيئا، قالوا: الله ورسوله امن، قال:" لو شئتم قلتم جئتنا كذا وكذا، اترضون ان يذهب الناس بالشاة والبعير وتذهبون بالنبي صلى الله عليه وسلم إلى رحالكم؟ لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار ولو سلك الناس واديا وشعبا لسلكت وادي الانصار وشعبها الانصار شعار، والناس دثار إنكم ستلقون بعدي اثرة، فاصبروا حتى تلقوني على الحوض".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Wuhayb bin Khalid ne byaan kiya , un se Amr bin Yahya ne , un se Abbad bin Tamim ne , un se Abdullah bin Zayd bin Aasim razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Ghazwa Hunayn ke mauqa par Allah Ta'ala ne apne Rasool ko jo ghanimat di thi Aap ne is ki taqseem kamzor iman ke logon mein (jo Fatah Makkah ke baad iman laye thay) kar di aur Ansar ko is mein se kuch nahi diya . Is ka unhein kuch malal hua ke woh maal jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne doosron ko diya unhein kyun nahi diya . Aap ne is ke baad unhein khitab kiya aur farmaya: Ae Ansariyo! Kya main ne tumhein gumrah nahi paya tha phir tum ko mere zariye Allah Ta'ala ne hidayat naseeb ki aur tum mein aapas mein dushmani aur na-ittifaqi thi to Allah Ta'ala ne mere zariye tum mein baaham ulfat paida ki aur tum muhtaj thay Allah Ta'ala ne mere zariye ghani kiya . Aap ke ek ek jumle par Ansar kehte jate thay ke Allah aur us ke Rasool ke hum sab se zyada ihsan mand hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri baaton ka jawab dene se tumhein kya cheez manay rahi ? Byaan kiya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ke har isharah par Ansar arz karte jate ke Allah aur us ke Rasool ke hum sab se zyada ihsan mand hain phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum chahte to mujh se is tarah bhi keh sakte thay (ke Aap aaye to log Aap ko jhutla rahe thay , lekin hum ne Aap ki tasdeeq ki waghaira) kya tum is par khush nahi ho ke jab log oont aur bakriyan le ja rahe hon to tum apne gharon ki taraf Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko saath le jao ? Agar hijrat ki fazeelat na hoti to main bhi Ansar ka ek aadmi hota . Log khwah kisi ghati ya wadi mein rahein ge main to Ansar ki ghati aur wadi mein rahoon ga . Ansar astar ki tarah hain jo jism se hamesha laga rehta hai aur doosre log oopar ke kapre yani abrah ki tarah hain . Tum log (Ansar) dekho ge ke mere baad tum par doosron ko tarjeeh di jaye gi . Tum aise waqt mein sabr karna yahan tak ke mujh se haudh par aa milo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7244
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار، ولو سلك الناس واديا وسلكت الانصار واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار، او شعب الانصار".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhon ne kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Agar hijrat (ki fazeelat) na hoti to mein Ansar ka ek fard banna (pasand karta) aur agar doosre log kisi wadi mein chalein aur Ansar ek wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة