الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التمني
Kitab: Naik tareen arzuon ke jaiz hone ke bayan mein
باب ما يجوز من اللو:
Lafz "agar magar" ke istemaal ka joaz.
Hadith Number: 7244
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار، ولو سلك الناس واديا وسلكت الانصار واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار، او شعب الانصار".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhon ne kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Agar hijrat (ki fazeelat) na hoti to mein Ansar ka ek fard banna (pasand karta) aur agar doosre log kisi wadi mein chalein aur Ansar ek wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3779
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، او قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" لو ان الانصار سلكوا واديا او شعبا لسلكت في وادي الانصار , ولولا الهجرة لكنت امرا من الانصار"، فقال ابو هريرة: ما ظلم بابي وامي آووه ونصروه , او كلمة اخرى.
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ya (yun bayan kiya ke) Abu-ul-Qasim Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Ansar jis waadi ya ghaati mein jayein to mein bhi unhein ki waadi mein jaoon ga. Aur agar mein hijrat na karta to mein Ansar ka ek fard hona pasand karta. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha aap par mere maan baap qurban hon aap ne ye koi zulm wali baat nahi farmai aap ko Ansar ne apne yahan theheraya aur aap ki madad ki thi ya Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne (is ke hum maani) aur koi doosra kalma kaha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7245
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، عن عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"لولا الهجرة لكنت امرا من الانصار ولو سلك الناس واديا، او شعبا لسلكت وادي الانصار وشعبها"، تابعه ابو التياح، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم في الشعب.
`Hum se Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Amr bin Yahya ne, un se Abbad bin Tamim ne aur un se Abdullah bin Zaid Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke agar hijrat na hoti to mein Ansar ka ek fard hota aur agar log kisi wadi ya ghati mein chalein to mein Ansar ki wadi ya ghati mein chaloon ga. Is riwayat ki mutabi'at Abul Tayyah ne ki, un se Anas Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Is mein bhi darre ka zikr hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة