الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب من بايع رجلا لا يبايعه إلا للدنيا:
Jis ne kisi se baayat ki aur maqsad khaalis dunya kamaana ho us ki burai ka bayaan.
Hadith Number: 7212
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا يكلمهم الله يوم القيامة ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل على فضل ماء بالطريق يمنع منه ابن السبيل، ورجل بايع إماما لا يبايعه إلا لدنياه إن اعطاه ما يريد وفى له وإلا لم يف له، ورجل يبايع رجلا بسلعة بعد العصر فحلف بالله لقد اعطي بها كذا وكذا فصدقه فاخذها ولم يعط بها".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abu Hamza Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, un se A'mash ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Teen aadmi aise hain jin se Allah Ta'ala qayamat ke din baat nahi kare ga aur na unhein paak kare ga aur un ke liye bahut sakht dukh dene wala azab ho ga. Ek wo shakhs jis ke paas raste mein zyada pani ho aur wo musafir ko is mein se na pilaye doosra wo shakhs jo imam se bai'at kare aur bai'at ki garaz sirf duniya kamana ho agar wo imam ise kuch duniya dede to bai'at poori kare warna tod de. Teesri wo shakhs jo kisi doosre se kuch maal mata' asr ke baad bech raha ho aur qasam khaye ke ise is saman ki itni itni qimat mil rahi thi aur phir khareedne wala ise saccha samajh kar is maal ko le le halanke ise is ki itni qimat nahi mil rahi thi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2358
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد بن زياد، عن الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، يقول: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا ينظر الله إليهم يوم القيامة ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل كان له فضل ماء بالطريق فمنعه من ابن السبيل، ورجل بايع إماما لا يبايعه إلا لدنيا فإن اعطاه منها رضي وإن لم يعطه منها سخط، ورجل اقام سلعته بعد العصر". فقال: والله الذي لا إله غيره، لقد اعطيت بها كذا وكذا، فصدقه رجل، ثم قرا هذه الآية إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya ke mein ne Abu Salih se suna, wo bayan karte thay ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya teen tarah ke log wo honge jin ki taraf Qiyamat ke din Allah Ta'ala nazar bhi nahi uthaye ga aur na unhein paak karega, balkay un ke liye dard naak azab ho ga. Ek wo shakhs jis ke paas raste mein zaroorat se ziyada pani ho aur us ne kisi musafir ko is ke istemal se rok diya. Doosra wo shakhs jo kisi hakim se baiat sirf duniya ke liye kare ke agar wo hakim ise kuch day to wo razi rahe warna khafa ho jaye. Teesre wo shakhs jo apna (bechne ka) saman asar ke baad lay kar khara hua aur kehne laga ke is Allah ki qasam jis ke siwa koi saccha maboud nahi, mujhe is saman ki qeemat itni itni mil rahi thi, is par ek shakhs ne ise sach samjha (aur is ki batayi hui qeemat par is saman ko khareed liya) phir Aap ne is ayat ki tilawat ki «إن الذين يشترون بعهد الله وأيمانهم ثمنا قليلا» ”Jo log Allah ko darmiyan mein day kar aur jhooti qasmein kha kar duniya ka thora sa maal mol lete hain“ aakhir tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2672
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا جرير بن عبد الحميد، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا يكلمهم الله ولا ينظر إليهم ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل على فضل ماء بطريق يمنع منه ابن السبيل، ورجل بايع رجلا لا يبايعه إلا للدنيا فإن اعطاه ما يريد وفى له وإلا لم يف له، ورجل ساوم رجلا بسلعة بعد العصر فحلف بالله لقد اعطى بها كذا وكذا فاخذها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Abdul Hamid ne bayan kiya Aamash se, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Teen tarah ke log aise hain ke Allah Ta'ala un se baat bhi na kare ga na in ki taraf nazar utha kar dekhe ga aur na unhein pak kare ga balkay unhein sakht dard-nak azab ho ga. Ek wo shaks jo safar mein zaroorat se zyada pani le ja raha hai aur kisi musafir ko (jise pani ki zaroorat ho) na de. Doosra wo shaks jo kisi (Khalifat-ul-Muslimeen) se baiat kare aur sirf duniya ke liye baiat kare ke jis se us ne baiat ki agar wo is ka maqsad poora kar de to ye bhi wafadari se kaam le, warna is ke sath baiat-o-ahad ke khilaf kare. Teesra wo shaks jo kisi se asar ke baad kisi saman ka bhao kare aur Allah ki qasam kha le ke ise is ka itna itna rupiya mil raha tha aur khareedar is saman ko (is ki qasam ki wajah se) le le. Halankay wo jhoota hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3358
حدثنا محمد بن محبوب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" لم يكذب إبراهيم عليه السلام إلا ثلاث كذبات ثنتين منهن في ذات الله عز وجل قوله إني سقيم سورة الصافات آية 89 وقوله بل فعله كبيرهم هذا سورة الانبياء آية 63، وقال: بينا هو ذات يوم وسارة إذ اتى على جبار من الجبابرة، فقيل له: إن ها هنا رجلا معه امراة من احسن الناس فارسل إليه فساله عنها، فقال: من هذه، قال: اختي فاتى سارة، قال: يا سارة ليس على وجه الارض مؤمن غيري وغيرك، وإن هذا سالني فاخبرته انك اختي فلا تكذبيني فارسل إليها فلما دخلت عليه ذهب يتناولها بيده فاخذ، فقال: ادعي الله لي ولا اضرك فدعت الله فاطلق، ثم تناولها الثانية فاخذ مثلها او اشد، فقال: ادعي الله لي ولا اضرك فدعت فاطلق فدعا بعض حجبته، فقال: إنكم لم تاتوني بإنسان إنما اتيتموني بشيطان فاخدمها هاجر فاتته وهو قائم يصلي فاوما بيده مهيا، قالت: رد الله كيد الكافر او الفاجر في نحره واخدم هاجر، قال: ابو هريرة تلك امكم يا بني ماء السماء".
Hum se Muhammad Bin Mahboob ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayub ne, un se Muhammad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ibrahim Alaihis Salam ne teen martaba jhoot bola tha, do in mein se khalis Allah Azza wa Jalla ki raza ke liye thay. Ek to un ka farmana (ba-taur tawriya ke) ke "mein bimar hoon" aur doosra un ka ye farmana ke "balki ye kaam to in ke bade (butt) ne kiya hai." Aur bayan kiya ke ek martaba Ibrahim Alaihis Salam aur Sarah Alaihi-as-Salam ek zhulim badshah ki hudood-e-saltanat se guzar rahe thay. Badshah ko khabar mili ke yahan ek shakhs aaya hua hai aur is ke sath dunya ki ek khubsoorat tareen aurat hai. Badshah ne Ibrahim Alaihis Salam ke paas apna aadmi bhej kar unhein bulwaya aur Sarah Alaihi-as-Salam ke mutalliq pucha ke ye kaun hain? Ibrahim Alaihis Salam ne farmaya ke ye meri behen hain. Phir aap Sarah Alaihi-as-Salam ke paas aaye aur farmaya ke Ae Sarah! Yahan mere aur tumhare siwa aur koi bhi momin nahi hai aur is badshah ne mujh se pucha to mein ne is se keh diya ke tum meri (deeni aitibar se) behen ho. Is liye ab tum koi aisi baat na kehna jis se mein jhoota banoon. Phir is zhulim ne Sarah ko bulwaya aur jab wo is ke paas gayeen to us ne un ki taraf hath badhana chaha lekin fauran hi pakad liya gaya. Phir wo kehne laga ke mere liye Allah se dua karo (ke is musibat se najat de) mein ab tumhein koi nuqsan nahi pahunchaoon ga. Chunanche unhon ne Allah se dua ki aur wo chhod diya gaya. Lekin phir doosri martaba us ne hath badhaya aur is martaba bhi isi tarah pakad liya gaya, balki is se bhi zyada sakht aur phir kehne laga ke Allah se mere liye dua karo, mein ab tumhein koi nuqsan nahi pahunchaoon ga. Sarah Alaihi-as-Salam ne dua ki aur wo chhod diya gaya. Is ke baad us ne apne kisi khidmat-gaar ko bula kar kaha ke tum log mere paas kisi insan ko nahi laye ho, ye to koi sarkash jinn hai (jate hue) Sarah Alaihis Salam ke liye us ne Hajra Alaihi-as-Salam ko khidmat ke liye diya. Jab Sarah aieen to Ibrahim Alaihis Salam khade namaz parh rahe thay. Aap ne hath ke isharah se un ka haal pucha. Unhon ne kaha ke Allah Ta'ala ne kafir ya (ye kaha ke) fajir ke fareeb ko usi ke munh par de mara aur Hajra Alaihi-as-Salam ko khidmat ke liye diya. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Ae 'banī mā-i-s-samā-i' (Ae aasmani pani ki aulad! yaani ahl-e-Arab) tumhari walida yahi (Hajra Alaihi-as-Salam) hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة