الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب العرفاء للناس:
Logon ke chaudhri ya naqeeb banana.
Hadith Number: 7176
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، حدثني إسماعيل بن إبراهيم، عن عمه موسى بن عقبة، قال ابن شهاب: حدثني عروة بن الزبير، انمروان بن الحكم، والمسور بن مخرمة، اخبراه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال حين اذن لهم المسلمون في عتق سبي هوازن:" إني لا ادري من اذن منكم ممن لم ياذن، فارجعوا حتى يرفع إلينا عرفاؤكم امركم، فرجع الناس، فكلمهم عرفاؤهم، فرجعوا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاخبروه ان الناس قد طيبوا واذنوا".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke chacha Musa bin Uqba ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Urwa bin Zubair ne bayan kiya aur unhein Marwan bin Hakam aur Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhum ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne, jab musalmanon ne qabila-e-Hawazin ke qaidiyoon ko ijazat di to farmaya ke mujhe nahi maloom ke tum mein se kis ne ijazat di hai aur kis ne nahi di hai. Pas wapas jao aur tumhara maamla hamare paas tumhare naqeeb ya chaudhry aur tumhare sardar layein. Chunancha log wapas chale gaye aur un ke zimmedaron ne un se baat ki aur phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko aa kar ittela di ke logon ne dili khushi se ijazat de di hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2307
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: وزعم عروة، ان مروان بن الحكم، والمسور بن مخرمة اخبراه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قام حين جاءه وفد هوازن مسلمين، فسالوه ان يرد إليهم اموالهم وسبيهم، فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: احب الحديث إلي اصدقه، فاختاروا إحدى الطائفتين: إما السبي، وإما المال، وقد كنت استانيت بهم، وقد كان رسول الله صلى الله عليه وسلم انتظرهم بضع عشرة ليلة حين قفل من الطائف، فلما تبين لهم ان رسول الله صلى الله عليه وسلم غير راد إليهم إلا إحدى الطائفتين، قالوا: فإنا نختار سبينا، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم: في المسلمين فاثنى على الله بما هو اهله، ثم قال: اما بعد، فإن إخوانكم هؤلاء قد جاءونا تائبين، وإني قد رايت ان ارد إليهم سبيهم، فمن احب منكم ان يطيب بذلك فليفعل، ومن احب منكم ان يكون على حظه حتى نعطيه إياه من اول ما يفيء الله علينا فليفعل، فقال الناس: قد طيبنا ذلك لرسول الله صلى الله عليه وسلم لهم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنا لا ندري من اذن منكم في ذلك ممن لم ياذن، فارجعوا حتى يرفعوا إلينا عرفاؤكم امركم، فرجع الناس فكلمهم عرفاؤهم، ثم رجعوا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبروه انهم قد طيبوا واذنوا".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Laith ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke Urwah yaqeen ke sath bayan karte thay aur unhein Marwan Bin Hakam aur Miswar Bin Makhramah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di thi ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein (Ghazwa-e-Hunain ke baad) jab qabeela-e-Hawazin ka wafd Musalman ho kar hazir hua to unhon ne darkhwast ki ke un ke maal-o-daulat aur un ke qaidiyon unhein wapas kar diye jayein. Is par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke sab se ziyada sacchi baat mujhe sab se ziyada pyari hai. Tumhe apne do mutalbon mein se sirf kisi ek ko ikhtiyar karna hoga, ya qaidiyon wapas lay lo, ya maal lay lo, mein is par ghaur karne ki wafd ko muhlat bhi deta hoon. Chunanche Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Taif se wapasi ke baad un ka (Jiranah mein) taqreeban das raat tak intizar kiya. Phir jab qabeela-e-Hawazin ke wakeelon par ye baat wazeh ho gayi ke Aap un ke mutalba ka sirf ek hi hissa tasleem kar sakte hain to unhon ne kaha ke hum sirf apne in logon ko wapas lena chahte hain jo Aap ki qaid mein hain. Is ke baad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Musalmanon ko khitab farmaya. Pehle Allah Ta'ala ki is ki shan ke mutabiq hamd-o-sana bayan ki, phir farmaya, Amma Baad! ye tumhare bhai tauba kar ke Musalman ho kar tumhare paas aaye hain. Is liye mein ne munasib jana ke in ke qaidiyon ko wapas kar doon. Ab jo shakhs apni khushi se aisa karna chahe to ise kar guzre. Aur jo shakhs ye chahta ho ke is ka hissa baqi rahe aur hum is ke is hissa ko (qeemat ki shakal mein) is waqt wapas kar dein jab Allah Ta'ala (aaj ke baad) sab se pehla maal-e-ghanimat kahin se dila day to ise bhi kar guzarna chahiye. Ye sun kar sab log bole pare ke hum bakhushi Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khatir in ke qaidiyon ko chhorne ke liye tayyar hain. Lekin Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke is tarah hum is ki tameez nahi kar sakte ke tum mein se kis ne ijazat di hai aur kis ne nahi di hai. Is liye tum sab (apne apne deron mein) wapas jao aur wahan se tumhare wakeel tumhara faisla humare paas layein. Chunanche sab log wapas chale gaye. Aur in ke sardaron ne (jo in ke numayinde thay) is surat-e-haal par baat ki phir wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur Aap ko bataya ke sab ne bakhushi dil se ijazat day di hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2308