الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب تسوية الصفوف عند الإقامة وبعدها:
Bab: Takbeer hote waqt aur takbeer ke baad saffon ka barabar karna.
Show diacritics
Hadith Number: 717
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني عمرو بن مرة، قال: سمعت سالم بن ابي الجعد، قال: سمعت النعمان بن بشير، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لتسون صفوفكم او ليخالفن الله بين وجوهكم".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Amr bin Murrah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Salim bin Abil Jad se suna , unhon ne kaha ke main ne Numan bin Bashir razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Namaaz mein apni safon ko barabar kar lo , nahi to Allah Taala tumhara munh ult de ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 723
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" سووا صفوفكم فإن تسوية الصفوف من إقامة الصلاة".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha ke hum ko Shubah ne Qatadah ke wastay se khabar di , unhon ne Anas razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke safain barabar rakho kyunke safon ka barabar rakhna namaaz ke qaim karne mein daakhil hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة