الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفتن
Kitab: Fitnon ke bayan mein
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: سترون بعدي أمورا تنكرونها :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana "mere baad tum baaz kaam dekho ge jo tum ko bure lagen ge".
Show diacritics
Hadith Number: 7055
حدثنا إسماعيل، حدثني ابن وهب، عن عمرو، عن بكير، عن بسر بن سعيد، عن جنادة بن ابي امية، قال:" دخلنا على عبادة بن الصامت وهو مريض، قلنا: اصلحك الله، حدث بحديث ينفعك الله به سمعته من النبي صلى الله عليه وسلم، قال: دعانا النبي صلى الله عليه وسلم، فبايعناه.
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, un se Amr bin Haris ne, un se Bukair bin Abdullah ne, un se Busr bin Said ne, un se Junada bin Abi Umayya ne bayan kiya ke hum Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ki khidmat mein pahunche wo mareez thay aur hum ne arz kiya: Allah Ta'ala Aap ko sehat ata farmaye. Koi hadees bayan kijiye jis ka nafa Aap ko Allah Ta'ala pahunchaye. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Lailat-ul-Aqaba mein suna hai ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne humein bulaya aur hum ne Aap se bai'at ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 18
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو إدريس عائذ الله بن عبد الله، ان عبادة بن الصامت رضي الله عنه، وكان شهد بدرا وهو احد النقباء ليلة العقبة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال وحوله عصابة من اصحابه:" بايعوني على ان لا تشركوا بالله شيئا، ولا تسرقوا، ولا تزنوا، ولا تقتلوا اولادكم، ولا تاتوا ببهتان تفترونه بين ايديكم وارجلكم، ولا تعصوا في معروف، فمن وفى منكم فاجره على الله، ومن اصاب من ذلك شيئا فعوقب في الدنيا فهو كفارة له، ومن اصاب من ذلك شيئا ثم ستره الله فهو إلى الله إن شاء عفا عنه وإن شاء عاقبه"، فبايعناه على ذلك.
Hum se is Hadees ko Abul Yamaan ne bayan kiya, un ko Sho’aib ne khabar di, woh Zohri se naql karte hain, unhein Abu Idrees Aa ne khabar di ke Ubadah bin Saamit Radhiallahu Anhu jo Badr ki ladaayi mein shareek the aur Lailat-ul-Aqabah ke (baarah) naqeebon mein se the. Farmaate hain ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us waqt jab Aap ke gird sahaba ki ek jamaat baithi hue thi farmaaya ke mujh se Bai’at karo is baat par ke Allah ke saath kisi ko shareek na karoge, chori na karoge, zina na karoge, apni aulaad ko qatl na karoge aur na amdan kisi par koi naahaqq bohtaan baandhoge aur kisi bhi achchi baat mein (Allah ki) na-farmaani na karoge. Jo koi tum mein (is ahed ko) poora karega to us ka sawab Allah ke zimme hai aur jo koi in (buri baaton) mein se kisi ka irtikaab kare aur use duniya mein (Islaami qanoon ke tahat) saza de di gayi to yeh saza us ke (gunaahon ke) liye badla ho jaayegi aur jo koi in mein se kisi baat mein mubtala ho gaya aur Allah ne us ke (gunaah) ko chupa liya to phir us ka (mu’aamla) Allah ke hawaale hai, agar chaahe maaf kare aur agar chaahe saza de de. (Ubaadah kehte hain ke) phir hum sab ne in (sab baaton) par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Bai’at kar li.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة