الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التعبير
Kitab: Khwabon ki tabeer ke bayan mein
باب الخضر فى المنام والروضة الخضراء:
Khwaab mein sabzi ya hara bhara baagh dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7010
حدثنا عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا حرمي بن عمارة، حدثنا قرة بن خالد، عن محمد بن سيرين، قال: قال قيس بن عباد" كنت في حلقة فيها سعد بن مالك، وابن عمر، فمر عبد الله بن سلام، فقالوا: هذا رجل من اهل الجنة، فقلت له: إنهم قالوا: كذا وكذا، قال: سبحان الله، ما كان ينبغي لهم ان يقولوا ما ليس لهم به علم، إنما رايت كانما عمود وضع في روضة خضراء فنصب فيها وفي راسها عروة وفي اسفلها منصف، والمنصف الوصيف، فقيل: ارقه، فرقيته حتى اخذت بالعروة، فقصصتها على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يموت عبد الله وهو آخذ بالعروة الوثقى".
`Hum se Abdullah bin Muhammad al-Ju'fee ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Harami bin Amara ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Qurra bin Khalid ne bayan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, un se Qais bin Abbad ne bayan kiya ke mein ek halqa mein baitha tha jis mein Saad bin Malik aur Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma baithe hue thay. Wahan se Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu guzre to logon ne kaha ke yeh ahl-e-jannat mein se hain. Mein ne un se kaha ke wo is tarah ki baat keh rahe hain. Aap ne farmaya, Subhan Allah un ke liye munasib nahi ke wo aisi baat kahein jis ka unhein ilm nahi hai. Mein ne khwab mein dekha tha ke ek sutoon ek hare bhare bagh mein nasab kiya hua hai is sutoon ke oopar ke sire par ek halqa ( «Urwa») laga hua tha aur neeche «Munsif» tha. «Munsif» se murad khadim hai phir kaha gaya ke is par chadh jao mein chadh gaya aur mein ne halqa pakad liya, phir mein ne is ka tazkira Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Abdullah ka jab intiqal ho ga to wo «al-Urwat-ul-Wusqa» ko pakde hue hon ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3813
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا ازهر السمان، عن ابن عون، عن محمد، عن قيس بن عباد، قال: كنت جالسا في مسجد المدينة فدخل رجل على وجهه اثر الخشوع، فقالوا: هذا رجل من اهل الجنة , فصلى ركعتين تجوز فيهما ثم خرج وتبعته، فقلت: إنك حين دخلت المسجد، قالوا: هذا رجل من اهل الجنة، قال: والله ما ينبغي لاحد ان، يقول: ما لا يعلم وساحدثك لم ذاك , رايت رؤيا على عهد النبي صلى الله عليه وسلم فقصصتها عليه ورايت كاني في روضة ذكر من سعتها وخضرتها وسطها عمود من حديد اسفله في الارض , واعلاه في السماء في اعلاه عروة، فقيل: له ارقه، قلت: لا استطيع فاتاني منصف فرفع ثيابي من خلفي , فرقيت حتى كنت في اعلاها فاخذت بالعروة، فقيل: له استمسك فاستيقظت وإنها لفي يدي فقصصتها على النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" تلك الروضة: الإسلام , وذلك العمود: عمود الإسلام , وتلك العروة: عروة الوثقى , فانت على الإسلام حتى تموت" وذاك الرجل عبد الله بن سلام، وقال لي خليفة: حدثنا معاذ، حدثنا ابن عون، عن محمد، حدثنا قيس بن عباد، عن ابن سلام، قال: وصيف مكان منصف.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Azhar Samman ne bayan kiya, un se Abu Awana ne, un se Muhammad ne aur un se Qais Bin Ubad ne bayan kiya ke mein masjid-e-Nabwi mein baitha hua tha ke ek buzurg masjid mein dakhil hue jin ke chehre par khushu o khuzu ke aasar zahir thay logon ne kaha ke ye buzurg jannati logon mein se hain, phir unhon ne do rakat namaz mukhtasar tariqa par parhi aur bahar nikal gaye mein bhi un ke peeche ho liya aur arz kiya ke jab aap masjid mein dakhil hue thay to logon ne kaha ke ye buzurg jannat walon mein se hain, is par unhon ne kaha: Allah ki qasam! Kisi ke liye aisi baat zaban se nikalna munasib nahi hai jise wo na janta ho aur mein tumhein bataoon ga ke aisa kyun hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein, mein ne ek khwab dekha aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se ise bayan kiya mein ne khwab ye dekha tha ke jaise mein ek bagh mein hoon, phir unhon ne is ki wusat aur is ke sabza zaron ka zikr kiya is bagh ke darmiyan mein ek lohe ka sutoon hai jis ka nichla hissa zameen mein hai aur upar ka aasman par aur is ki choti par ek ghana darakht hai «Al-Urwah» mujh se kaha gaya ke is par charh jao mein ne kaha ke mujh mein to itni taqat nahi hai itne mein ek khadim aaya aur peeche se mere kapre is ne uthaye to mein charh gaya aur jab mein is ki choti par pahunch gaya to mein ne is ghane darakht ko pakar liya mujh se kaha gaya ke is darakht ko poori mazbooti ke sath pakar le, abhi mein ise apne hath se pakre hue tha ke meri aankh khul gayi. Ye khwab jab mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se bayan kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jo bagh tum ne dekha hai, wo to Islam hai aur is mein sutoon Islam ka sutoon hai aur «Al-Urwah» (ghana darakht) «Urwat-ul-Wusqa» hai is liye tum Islam par marte dam tak qaim raho ge. Ye buzurg Abdullah Bin Salam thay aur mujh se Khalifa ne bayan kiya un se Muaz ne bayan kiya un se Ibn Aun ne bayan kiya un se Muhammad ne un se Qais Bin Ubad ne bayan kiya Abdullah Bin Salam Radi Allahu Anhu se unhon ne «Munsifun» (khadim) ke bajaye «Waseefun» ka lafz zikr kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة