الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التعبير
Kitab: Khwabon ki tabeer ke bayan mein
باب اللبن:
Doodh ko khwaab mein dekhna.
Hadith Number: 7006
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني حمزة بن عبد الله، ان ابن عمر، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن، فشربت منه حتى إني لارى الري يخرج من اظفاري، ثم اعطيت فضلي، يعني عمر، قالوا: فما اولته يا رسول الله، قال: العلم".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Hamza bin Abdullah ne khabar di, un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein soya hua tha ke mere paas doodh ka ek pyala laya gaya aur mein ne is ka doodh piya. Yahan tak ke is ki seerabi ka asar mein ne apne nakhunon mein zahir hota dekha, is ke baad mein ne is ka bacha hua de diya. Aap ka ishara Umar Radi Allahu Anhu ki taraf tha sahabah ne poocha: Aap ne is ki ta'beer kya ki ya Rasul Allah? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 82
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، عن حمزة بن عبد الله بن عمر، ان ابن عمر، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم، اتيت بقدح لبن فشربت حتى إني لارى الري يخرج في اظفاري، ثم اعطيت فضلي عمر بن الخطاب، قالوا: فما اولته يا رسول الله، قال: العلم".
Hum se Sa’eed bin ’Ufair ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Laith ne, un se ’Aqeel ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se naql kiya, woh Hamzah bin Abdullah bin Umar se naql karte hain ke Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ne farmaaya main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna hai ke main so raha tha (usi haalat mein) mujhe doodh ka ek pyaala diya gaya. Main ne (khoob achchi tarah) pi liya. Hatta ke main ne dekha ke taazgi mere nakhunon se nikal rahi hai. Phir main ne apna bacha huwa (doodh) Umar bin Khattab ko de diya. Sahaba Radhiallahu Anhum ne poocha Aap ne us ki kiya ta’beer li? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ilm.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3681
حدثني محمد بن الصلت ابو جعفر الكوفي، حدثنا ابن المبارك، عن يونس، عن الزهري، قال: اخبرني حمزة، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم شربت يعني اللبن حتى انظر إلى الري يجري في ظفري او في اظفاري، ثم ناولت عمر"، فقالوا: فما اولته، قال:" العلم".
Mujh se Abu Ja'far Muhammad bin Salt Kufi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin al-Mubarak ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujh ko Hamza ne khabar di aur unhein in ke walid (Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke mein ne khwab mein doodh piya, itna ke mein doodh ki seerabi dekhne laga jo mere nakhun ya nakhunon par beh rahi hai, phir mein ne piyala Umar ko de diya. Sahaba ne poocha: Ya Rasul Allah! Is khwab ki tabeer kya hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke is ki tabeer ilm hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7007
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، حدثني حمزة بن عبد الله بن عمر، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه حتى إني لارى الري يخرج من اطرافي، فاعطيت فضلي عمر بن الخطاب، فقال من حوله: فما اولت ذلك يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, un se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha un se mere walid Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne, un se Hamza bin Abdullah bin Umar ne bayan kiya aur unhon ne Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se suna kaha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, mein soya hua tha ke mere paas doodh ka ek pyala laya gaya aur mein ne is mein se piya, yahan tak ke mein ne seerabi ka asar apne atraf mein numayan dekha. Phir mein ne is ka bacha hua Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ko diya jo sahabah wahan maujood thay, unhon ne poocha ke ya Rasul Allah! Aap ne is ki ta'beer kya ki? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm murad hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7027
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني حمزة بن عبد الله بن عمر، ان عبد الله بن عمر، قال:سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه حتى إني لارى الري يجري، ثم اعطيت فضله عمر، قالوا: فما اولته يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Hamza bin Abdullah bin Umar ne khabar di ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne bayan kiya ke mein soya hua tha ke doodh ka ek pyala mere paas laya gaya aur mein ne is mein se itna piya ke seerabi ko mein ne har rag o pay mein paya. Phir mein ne apna bacha hua doodh Umar ko de diya. Logon ne poocha: Ae Allah ke Rasul! Aap ne is ki ta'beer kya ki? Farmaya ke ilm is ki ta'beer hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7032
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن حمزة بن عبد الله، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه، ثم اعطيت فضلي عمر بن الخطاب، قالوا: فما اولته يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Hamza bin Abdullah ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein soya hua tha ke mere paas doodh ka pyala laya gaya. Mein ne is mein se piya phir mein ne apna bacha hua Umar bin Khattab ko de diya. Logon ne poocha: ya Rasul Allah! Aap ne is ki ta'beer kya li? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm se ta'beer li.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة