الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب استتابة المرتدين
Kitab: Baghiyon aur murtadon se tauba karane ka bayan
باب:
...
Show diacritics
Hadith Number: 6929
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال حدثني شقيق، قال: قال عبد الله: كاني انظر إلى النبي صلى الله عليه وسلم،" يحكي نبيا من الانبياء، ضربه قومه، فادموه، فهو يمسح الدم عن وجهه، ويقول: رب اغفر لقومي فإنهم لا يعلمون".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid ne , kaha hum se Aamash ne , kaha mujh se Shaqeeq ibn Salama ne ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha jaise main (is waqt) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekh raha hoon Aap ek Paighambar (Nooh alaihissalam) ki hikayat bayan kar rahe thay in ki qaum walon ne in ko itna mara ke lahu-luhan kar diya woh apne munh se khoon poonchte thay aur yun dua karte jaate «rab-bigh-fir li-qaumee fa-innahum laa ya-lamoona» ”Parvardigar meri qaum walon ko bakhsh de woh nadan hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3477
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني شقيق، قال عبد الله: كاني انظر إلى النبي صلى الله عليه وسلم يحكي" نبيا من الانبياء ضربه قومه فادموه وهو يمسح الدم عن وجهه، ويقول: اللهم اغفر لقومي فإنهم لا يعلمون".
Hum se Umar Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se mere baap Hafs Bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha hum se Amash ne bayan kiya ke ke mujh se Shaqiq Bin Salamah ne bayan kiya ke Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne kaha mein goya Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is waqt dekh raha hoon. Aap Bani Israel ke ek Nabi ka waqia bayan kar rahe thay ke un ki qoum ne unhein mara aur khoon alood kar diya. Lekin wo Nabi khoon saaf karte jate aur ye dua karte «Allahum-maghfir li-qoumi» ke ae Allah! Meri qoum ki maghfirat farma. Ye log jante nahi hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة