الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب استتابة المرتدين
Kitab: Baghiyon aur murtadon se tauba karane ka bayan
باب حكم المرتد والمرتدة:
Murtad mard aur murtad aurat ka hukm.
Hadith Number: 6923
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن قرة بن خالد، حدثني حميد بن هلال، حدثنا ابو بردة، عن ابي موسى، قال:" اقبلت إلى النبي صلى الله عليه وسلم ومعي رجلان من الاشعريين، احدهما عن يميني والآخر عن يساري، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يستاك، فكلاهما سال العمل، فقال: يا ابا موسى، او يا عبد الله بن قيس، قال: قلت: والذي بعثك بالحق ما اطلعاني على ما في انفسهما، وما شعرت انهما يطلبان العمل، فكاني انظر إلى سواكه تحت شفته قلصت، فقال:" لن او لا نستعمل على عملنا من اراده، ولكن اذهب انت يا ابا موسى، او يا عبد الله بن قيس إلى اليمن، ثم اتبعه معاذ بن جبل، فلما قدم عليه القى له وسادة، قال: انزل، وإذا رجل عنده موثق، قال: ما هذا؟، قال: كان يهوديا فاسلم، ثم تهود، قال: اجلس، قال: لا اجلس حتى يقتل قضاء الله ورسوله، ثلاث مرات، فامر به، فقتل، ثم تذاكرا قيام الليل، فقال احدهما: اما انا فاقوم وانام وارجو في نومتي ما ارجو في قومتي".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne, unhon ne Qurrah bin Khalid se, kaha mujh se Humayd bin Hilal ne bayan kiya, kaha hamase Abu Burdah razi Allahu anhu ne, unhon ne Abu Musa Ash'ari se, unhon ne kaha main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaya mere saath Ashar qabila ke do shakhs thay (naam na-maloom) ek meere dahne taraf thu, doosra bayein taraf. Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam miswak kar rahe thay. Donon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ohde ki darkhast ki. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya, Abu Musa ya Abdullah bin Qays! (rawi ko shak hai) main ne isi waqt arz kiya: ya Rasool Allah! Is Parvardigar ki qasam jis ne Aap ko sacha Paighambar bana kar bheija. Unhon ne apne دل ki baat mujh se nahi kahi thi aur mujhko maloom nahi thu ke yeh donon shakhs ohda chahte hain. Abu Musa kehte hain jaise main is waqt Aap ki miswak ko dekh raha hoon woh Aap ke hont ke neeche uthi hui ku. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo koi hamase ohde ki darkhast karta hai hum is ko ohda nahi dete. Lekin Abu Musa ya Abdullah bin Qays! Tu Yaman ki hukoomat par ja (khair Abu Musa rawana huay) is ke baad Aap ne Maaz bin Jabal razi Allahu anhu ko bhi in ke peeche rawana kiya. Jab Maaz razi Allahu anhu Yaman mein Abu Musa razi Allahu anhu ke paas pahunche to Abu Musa razi Allahu anhu ne in ke baithne ke liye gadda bichhwaya aur kehne lage sawari se utro gadde par baitho. Is waqt in ke paas ek shakhs thu (naam na-maloom) jis ki mashkein kisi hui thien. Maaz razi Allahu anhu ne Abu Musa razi Allahu anhu se poochha yeh kaun shakhs hai? Unhon ne kaha yeh Yahudi thu phir Musalman hua ab phir Yahudi ho gaya hai aur Abu Musa razi Allahu anhu ne Maaz razi Allahu anhu se kaha aji tum sawari par se utar kar baitho. Unhon ne kaha main nahi baithta jab tak Allahaur is ke Rasool ke hukm ke muafiq yeh qatl na kiya jaye ga teen baar yahi kaha. Aakhir Abu Musa razi Allahu anhu ne hukm diya woh qatl kiya gaya. Phir Maaz razi Allahu anhu baithe. Ab donon ne raat ki ibadat (tahajjud guzaari) ka zikr chhairha. Maaz razi Allahu anhu ne kaha main to raat ko ibadat bhi karta hoon aur sota bhi hoon aur mujhe umeed hai ke sone mein bhi mujhko wahi sawab mile ga jo namaz parhne aur ibadat karne mein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2261
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن قرة بن خالد، قال: حدثني حميد بن هلال، حدثنا ابو بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: اقبلت إلى النبي صلى الله عليه وسلم ومعي رجلان من الاشعريين، فقلت: ما عملت، انهما يطلبان العمل، فقال:" لن، او لا نستعمل على عملنا من اراده".
Hum se Musaddad ne bayan kiya kaha ke hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Qurrah Bin Khalid ne kaha ke mujh se Humaid Bin Hilal ne bayan kiya, un se Abu Burdah ne bayan kiya aur un se Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aya. Mere sath (mere qabeela) Ashar ke do mard aur bhi thay. Mein ne kaha ke mujhe nahi maloom ke ye donon sahiban hakim banne ke talab-gar hain. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo shakhs hakim banne ka khud khwahish-mand ho, ise hum hargiz hakim nahi banayenge. (Yahan rawi ko shak hai ke) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne lafz «لن» ya lafz «لا» istemal farmaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة