الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب لا يقتل المسلم بالكافر:
Musalman ko (zimmi) kaafir ke badle qatl nahin kiya jaayega.
Show diacritics
Hadith Number: 6915
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا مطرف، ان عامرا حدثهم، عن ابي جحيفة، قال: قلت: لعلي. ح حدثنا صدقة بن الفضل،اخبرنا ابن عيينة، حدثنا مطرف، سمعت الشعبي، يحدث، قال: سمعت ابا جحيفة، قال: سالت عليا رضي الله عنه: هل عندكم شيء مما ليس في القرآن؟، وقال ابن عيينة مرة: ما ليس عند الناس، فقال:" والذي فلق الحبة، وبرا النسمة، ما عندنا إلا ما في القرآن إلا فهما يعطى رجل في كتابه وما في الصحيفة، قلت: وما في الصحيفة؟، قال: العقل وفكاك الاسير وان لا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr bin Muawiyah ne, kaha hum se Mutarrif bin Tareef ne, in se Aamir Shabi ne bayan kiya. Abu Juhaifah se riwayat kar ke, kaha main ne Ali razi Allahu anhu se kaha. (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hamase Sadaqah bin Fadl ne, kaha hamain ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, kaha hum se Mutarrif bin Tareef ne bayan kiya, kaha main ne Aamir Shabi se suna, woh bayan karte thay ke main ne Abu Juhaifah se suna, unhon ne kaha main ne Ali razi Allahu anhu se poochha kiya Aap ke paas aur bhi kuch aayitein ya suratein hain jo is Quran mein nahi hain (yani mashhoor mushaf mein) aur kabhi Sufyan bin Uyaynah ne yun kaha ke jo aam logon ke paas nahi hain. Ali razi Allahu anhu ne kaha qasam is Allah ki jis ne dana cheer kar ugaya aur jaan ko paida kiya hamare paas is Quran ke siwa aur kuch nahi hai. Albatta ek samajh hai jo Allah Ta'ala apni kitab ki jis ko chahta hai inayat farmata hai aur woh jo is varaq pe likha hua hai. Abu Juhaifah ne kaha is varaq pe kiya likha hai? Unhon ne kaha diyat aur qadi chhurane ke ahkaam aur yeh masla ke Musalman kafir ke badle qatl na kiya jaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 111
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن مطرف، عن الشعبي، عن ابي جحيفة، قال: قلت لعلي:" هل عندكم كتاب؟ قال: لا، إلا كتاب الله، او فهم اعطيه رجل مسلم او ما في هذه الصحيفة، قال: قلت، فما في هذه الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، ولا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, unhein Wakee’ ne Sufyan se khabar di, unhon ne Mutarrif se suna, unhon ne Sha’bi Rahimahullah se, unhon ne Abu Juhaifah se, woh kehte hain ke main ne ’Ali Radhiallahu Anhu se poocha ke kya aap ke paas koi (aur bhi) kitaab hai? Unhon ne farmaaya ke nahi, magar Allah ki kitaab Quran hai ya phir feham hai jo woh ek musalmaan ko ata karta hai. Ya phir jo kuch is saheefe mein hai. Main ne poocha, is saheefe mein kya hai? Unhon ne farmaaya, diyat aur qaidiyon ki rihaayi ka bayan hai aur yeh hukm ke musalmaan, kaafir ke badle qatl na kiya jaaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة