الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب جنين المرأة:
Aurat ke pait ka bacha jo abhi paida na hua ho.
Show diacritics
Hadith Number: 6907
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن هشام، عن ابيه، ان عمر نشد الناس من سمع النبي صلى الله عليه وسلم" قضى في السقط، فقال المغيرة: انا سمعته" قضى فيه بغرة عبد او امة،
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se un ke walid ne ke Umar razi Allahu anhu ne logon se qasam de kar poochha ke kis ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hamal girne ke silsile mein faisla suna hai? Mugheera razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Aap ne is mein ek ghulam ya kaneez dene ka faisla kiya thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6905
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، عن المغيرة بن شعبة، عن عمر رضي الله عنه: انه استشارهم في إملاص المراة، فقال المغيرة:" قضى النبي صلى الله عليه وسلم بالغرة عبد او امة، فقال: ائت من يشهد معك.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, in se un ke walid ne, in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhu ne ke Umar razi Allahu anhu ne in se ek aurat ke hamal gira dene ke khoon-baha ke silsila mein mashwara kiya to Mugheera razi Allahu anhu ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ghulam ya kaneez ka is silsile mein faisla kiya thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة