الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب العاقلة:
Aaqila ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6903
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، حدثنا مطرف، قال: سمعت الشعبي، قال: سمعت ابا جحيفة، قال:" سالت عليا رضي الله عنه هل عندكم شيء ما ليس في القرآن؟ وقال مرة: ما ليس عند الناس؟، فقال" والذي فلق الحبة، وبرا النسمة ما عندنا إلا ما في القرآن إلا فهما يعطى رجل في كتابه وما في الصحيفة، قلت: وما في الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، وان لا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Sadaqah bin al-Fadl ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Uyaynah ne khabar di, in se Mutarrif ne bayan kiya, kaha ke main ne Shabi se suna, kaha ke main ne Abu Juhaifah se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Ali razi Allahu anhu se poochha, kiya Aap ke paas koi aaisi cheez bhi hai jo Quran Majeed mein nahi hai aur ek martaba unhon ne is tarah bayan kiya ke jo logon ke paas nahi hai. Is par unhon ne kaha ke is zaat ki qasam jis ne dane se kounpal ko phaar kar nikala hai aur makhlooq ko paida kiya. Hamare paas Quran Majeed ke siwa aur kuch nahi hai. Siwa is samajh ke jo kisi shakhs ko is ki kitab mein di jaye aur jo kuch is saheefa mein hai. Main ne poochha saheefa mein kiya hai? Farmaya khoon-baha (diyat) se mutalliq ahkaam aur qadi ke chhurane ka hukm aur yeh ke koi Musalman kisi kafir ke badle mein qatl nahi kiya jaye ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 111
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن مطرف، عن الشعبي، عن ابي جحيفة، قال: قلت لعلي:" هل عندكم كتاب؟ قال: لا، إلا كتاب الله، او فهم اعطيه رجل مسلم او ما في هذه الصحيفة، قال: قلت، فما في هذه الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، ولا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, unhein Wakee’ ne Sufyan se khabar di, unhon ne Mutarrif se suna, unhon ne Sha’bi Rahimahullah se, unhon ne Abu Juhaifah se, woh kehte hain ke main ne ’Ali Radhiallahu Anhu se poocha ke kya aap ke paas koi (aur bhi) kitaab hai? Unhon ne farmaaya ke nahi, magar Allah ki kitaab Quran hai ya phir feham hai jo woh ek musalmaan ko ata karta hai. Ya phir jo kuch is saheefe mein hai. Main ne poocha, is saheefe mein kya hai? Unhon ne farmaaya, diyat aur qaidiyon ki rihaayi ka bayan hai aur yeh hukm ke musalmaan, kaafir ke badle qatl na kiya jaaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة