الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم} :
Allah Taala ne (Surat An-Nisa mein) farmaya "aur jo shakhs kisi Musalman ko jaan boojh kar qatl kar de us ki saza jahannam hai".
Hadith Number: 6862
حدثنا علي، حدثنا إسحاق بن سعيد بن عمرو بن سعيد بن العاص، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لن يزال المؤمن في فسحة من دينه، ما لم يصب دما حراما".
Hum se Ali bin Jad ne bayan kiya, kaha hum se Ishaq bin Saeed bin Amr bin Saad bin al-Aas razi Allahu anhuma ne bayan kiya, in se in ke walid ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Momin is waqt tak apne deen ke baare mein barabar kushada rehta hai (usay har waqt maghfirat ki umeed rehti hai) jab tak nahaq khoon na kare jahan nahaq kiya to maghfirat ka darwaza tang ho jata hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6863
حدثني احمد بن يعقوب، حدثنا إسحاق بن سعيد، سمعت ابي يحدث، عن عبد الله بن عمر، قال:" إن من ورطات الامور التي لا مخرج لمن اوقع نفسه فيها، سفك الدم الحرام بغير حله".
Mujh se Ahmad bin Yaqoob ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ishaq ne bayan kiya, unhon ne kaha main ne apne walid se suna, woh Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se bayan karte thay ke halakat ka bhanwar jis mein girne ke baad phir nikalne ki umeed nahi hai woh nahaq khoon karna hai, jis ko Allah Ta'ala ne haram kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة