الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المحاربين
Kitab: Un kuffar-o-murtadon ke ahkam mein jo Musalmanon se larte hain
باب من رأى مع امرأته رجلا فقتله:
Is mard ke baare mein jis ne apni biwi ke saath kisi ghair mard ko dekha aur usay qatl kar diya, us ke baare mein kya hukm hai?
Hadith Number: 6846
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، عن وراد كاتب المغيرة، عن المغيرة، قال: قال سعد بن عبادة:" لو رايت رجلا مع امراتي لضربته بالسيف غير مصفح، فبلغ ذلك النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اتعجبون من غيرة سعد، لانا اغير منه، والله اغير مني".
Hum se Musa ne bayan kiya , in se Abu Awanah ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Malik ne bayan kiya , in se Mugheera ke kaatib Warrad ne , in se Mugheera razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ne kaha ke agar main apni biwi ke saath kisi ghair mard ko dekh loon to seedhi talwar ki dhaar se usay maar daaloon . Yeh baat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tak pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya tumhein Saad ki ghairat par hairat hai . Main in se bhi barh kar ghairat-mand hoon aur Allah mujh se bhi zyada ghairat-mand hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5220
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن شقيق، عن عبد الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما من احد اغير من الله، من اجل ذلك حرم الفواحش وما احد احب إليه المدح من الله".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , in se Aamash ne byaan kiya , un se Shaqeeq ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala se zyada ghairat-mand aur koi nahi hai . Yahi wajah hai ke us ne be-hayayi ke kaamon ko haram kiya hai aur Allah se barh kar koi apni tareef pasand karne wala nahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5222
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن يحيى، عن ابي سلمة، ان عروة بن الزبير حدثه، عن امه اسماء، انها سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا شيء اغير من الله".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya , in se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne , un se Urwah bin Zubayr ne byaan kiya aur un se un ki walda Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke Allah Ta'ala se zyada ghairat-mand koi nahi aur (isi sanad se) Yahya se riwayat hai ke in se Abu Salamah ne byaan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7403
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن شقيق، عن عبد الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما من احد اغير من الله من اجل ذلك حرم الفواحش، وما احد احب إليه المدح من الله".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se mere walid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Aamash ne bayan kiya, in se Shaqeeq ne aur in se Abdullah ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”koi bhi Allah se zyada ghairat-mand nahi aur isi liye us ne fawaahish ko haram qarar diya hai aur Allah se zyada koi tareef pasand karne wala nahi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7416
حدثنا موسى بن إسماعيل التبوذكي، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، عن وراد كاتب المغيرة، عن المغيرة، قال: قال سعد بن عبادة:" لو رايت رجلا مع امراتي لضربته بالسيف غير مصفح، فبلغ ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: اتعجبون من غيرة سعد؟ والله لانا اغير منه، والله اغير مني، ومن اجل غيرة الله حرم الفواحش ما ظهر منها وما بطن، ولا احد احب إليه العذر من الله ومن اجل ذلك بعث المبشرين والمنذرين، ولا احد احب إليه المدحة من الله ومن اجل ذلك وعد الله الجنة"، وقال عبيد الله بن عمرو، عن عبد الملك، لا شخص اغير من الله.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik ne bayan kiya, in se Mugheera razi Allahu anhuke kaatib Warrad ne aur in se Mugheera razi Allahu anhune bayan kiya ke Saad bin Ubadah razi Allahu anhune kaha ke agar main apni biwi ke saath kisi ghair mard ko dekhoon to seedhi talwar se is ki gardan maar doon phir yeh baat Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tak pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya tumhein Saad ki ghairat par hairat hai? Bilashubha main in se zyada ghairat-mand hoon aur Allah Ta'ala mujh se zyada ghairat-mand hai aur Allahne ghairat hi ki wajah se fawaahish ko haram kiya hai. Chahe woh zhahir mein hon ya chhup kar aur mazharat Allah se zyada kisi ko pasand nahi, isi liye us ne bisharat dene wale aur darane wale bheije aur tareef Allah se zyada kisi ko pasand nahi, isi wajah se us ne jannat ka waada kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة