الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفرائض
Kitab: Faraiz yani tarka ke hisson ke bayan mein
باب ميراث الأخوات مع البنات عصبة:
Betiyon ki maujoodgi mein behnein asaba ho jaati hain.
Show diacritics
Hadith Number: 6742
حدثنا عمرو بن عباس، حدثنا عبد الرحمن، حدثنا سفيان، عن ابي قيس، عن هزيل، قال: قال عبد الله:" لاقضين فيها بقضاء النبي صلى الله عليه وسلم او قال قال النبي صلى الله عليه وسلم: للابنة النصف، ولابنة الابن السدس، وما بقي فللاخت".
Hum se Amr bin Abbas ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Mahdi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Abu Qays (Abd-ul-Rahman bin Azwan) ne , in se Huzayl bin Shar-habeel ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke faisle ke mutabiq is ka faisla karoon ga , larki ko aadha , poti ko chhata aur jo baaqi bache behen ka hissa hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6736
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ابو قيس، سمعت هزيل بن شرحبيل، قال:" سئل ابو موسى، عن بنت، وابنة ابن، واخت، فقال: للبنت النصف، وللاخت النصف"، وات ابن مسعود فسيتا بعني، فسئل ابن مسعود، واخبر بقول ابي موسى، فقال لقد ضللت إذا وما انا من المهتدين" اقضي فيها بما قضى النبي صلى الله عليه وسلم، للابنة النصف، ولابنة ابن السدس تكملة الثلثين، وما بقي فللاخت". فاتينا ابا موسى، فاخبرناه بقول ابن مسعود، فقال: لا تسالوني ما دام هذا الحبر فيكم.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne , kaha hum se Abu Qays Abd-ur-Rahman bin Sarwan ne , unhon ne Huzayl bin Shar-habeel se suna , bayan kiya ke Abu Musa razi Allahu anhu se beti , poti aur behen ki meras ke baare mein poochha gaya to unhon ne kaha ke beti ko aadha mile ga aur behen ko aadha mile ga aur tu Ibn Masood razi Allahu anhu ke yahan ja , shayad woh bhi yahi batayein ge . Phir Ibn Masood razi Allahu anhu se poochha gaya aur Abu Musa razi Allahu anhu ki baat bhi pahunchayi gayi to unhon ne kaha ke main agar aisa fatwa doon to gumrah ho chuka aur theek raste se bhatak gaya . Main to is mein wahi faisla karoon ga jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya thu ke beti ko aadha mile ga , poti ko chhata hissa mile ga , is tarah do tihayi poori ho jaye gi aur phir jo baaqi bache ga woh behen ko mile ga . Phir Abu Musa razi Allahu anhu ke paas aaye aur Ibn Masood razi Allahu anhu ki baat in tak pahunchayi to unhon ne kaha ke jab tak yeh aalim tum mein maujood hain mujh se masail na poochha karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة