الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب إذا حرم طعامه:
Agar koi shakhs apna khana apne upar haraam kar le.
Show diacritics
Hadith Number: 6691
حدثنا الحسن بن محمد، حدثنا الحجاج، عن ابن جريج، قال: زعم عطاء، انه سمع عبيد بن عمير، يقول: سمعت عائشة تزعم، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يمكث عند زينب بنت جحش، ويشرب عندها عسلا، فتواصيت انا وحفصة ان ايتنا دخل عليها النبي صلى الله عليه وسلم، فلتقل: إني اجد منك ريح مغافير اكلت مغافير، فدخل على إحداهما: فقالت ذلك له، فقال:" لا، بل شربت عسلا عند زينب بنت جحش، ولن اعود له"، فنزلت: يايها النبي لم تحرم ما احل الله لك سورة التحريم آية 1 إن تتوبا إلى الله سورة التحريم آية 4، لعائشة، وحفصة، وإذ اسر النبي إلى بعض ازواجه حديثا، لقوله: بل شربت عسلا"، وقال لي إبراهيم بن موسى، عن هشام: ولن اعود له، وقد حلفت فلا تخبري بذلك احدا.
Hum se Hasan bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Jurayj ne bayan kiya ke Ata kehte thay ke unhon ne Ubaid bin Umair se suna, kaha main ne Aisha razi Allahu anha se suna, woh kehti thien ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Umm al-Momineen) Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ke yahan rukte thay aur shahad peete thay. Phir main ne aur (Umm al-Momineen) Hafsa (razi Allahu anha) ne ahad kiya ke hum mein se jis ke paas bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aayein to woh kahe ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke munh se maghafeer ki boo aati hai, Aap ne maghafeer to nahi khayi hai? Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab ek ke yahan tashreef laaye to unhon ne yahi baat Aap se poochhi. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi balkay main ne shahad piya hai Zaynub bint Jahsh ke yahan aur اب kabhi nahi piyoon ga. (kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko yaqeen ho gaya ke waqeyi is mein maghafeer ki boo aati hai) is par yeh aayat nazil hui «ya ay-yuhan-nabiy-yu lima tuharrimu maa ahal-lal-laahu laka» ”Ae Nabi! Aap aaisi cheez kyun haram karte hain jo Allah ne Aap ke liye halal ki hai.“ «in tatoobaaa ilallaahi» mein Aisha aur Hafsa razi Allahu anha ki taraf isharah hai aur «wa izh asar-ran-nabiy-yu ilaa ba'dhi azwaajihee hadeesan» se isharah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke is irshad ki taraf hai ke ”nahi“ main ne shahad piya hai.“ aur mujh se Ibrahim bin Musa ne Hisham se bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya thu ke ab kabhi main shahad nahi piyoon ga main ne qasam kha li hai tum is ki kisi ko khabar na karna (phir Aap ne is qasam ko torr diya).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4912
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، عن ابن جريج، عن عطاء، عن عبيد بن عمير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يشرب عسلا عند زينب بنت جحش، ويمكث عندها، فواطيت انا وحفصة على ايتنا دخل عليها، فلتقل له: اكلت مغافير إني اجد منك ريح مغافير؟ قال:" لا، ولكني كنت اشرب عسلا عند زينب بنت جحش، فلن اعود له، وقد حلفت لا تخبري بذلك احدا".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya, kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Jurayj ne, unhein Ata ne, unhein Ubayd bin Umayr aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ke ghar mein shehad peete aur wahan theharte thay phir main ne aur Hafsa razi Allahu anha ne aise kiya ke hum mein se jis ke paas bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Zaynub ke yahan se shehad pee kar aane ke baad) dakhil hon to woh kahe ke kya Aap ne pyaaz khayi hai. Aap ke munh se maghafeer ki boo aati hai. Chunanche jab Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye to mansooba-bandi ke tahet yahi kaha gaya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bad-boo ko bahut napasand farmate thay. Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne maghafeer nahi khayi hai albatta Zaynub bint Jahsh ke yahan se shehad piya tha lekin ab usay bhi hargiz nahi piyoon ga. Main ne is ki qasam kha li hai lekin tum kisi se is ka zikr na karna.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5267
حدثني الحسن بن محمد بن صباح، حدثنا حجاج، عن ابن جريج، قال: زعم عطاء انه سمع عبيد بن عمير، يقول: سمعت عائشة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يمكث عند زينب بنت جحش ويشرب عندها عسلا، فتواصيت انا وحفصة ان ايتنا دخل عليها النبي صلى الله عليه وسلم فلتقل إني اجد منك ريح مغافير اكلت مغافير، فدخل على إحداهما، فقالت له ذلك، فقال: لا، بل شربت عسلا عند زينب بنت جحش ولن اعود له، فنزلت يايها النبي لم تحرم ما احل الله لك إلى إن تتوبا إلى الله سورة التحريم آية 1 - 4 لعائشة وحفصة، وإذ اسر النبي إلى بعض ازواجه سورة التحريم آية 3 لقوله: بل شربت عسلا".
Mujh se Hasan bin Muhammad bin Sabah ne byaan kiya , kaha hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne , in se Ibn Jurayj ne ke Ata bin Abi Rabah ne yaqeen ke saath kaha ke unhon ne Ubaid bin Umair se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Umm al-Momineen Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ke yahan theharte thay aur un ke yahan shehad piya karte thay . Chunanche main ne aur Hafsa razi Allahu anha ne mil kar salah ki ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hum mein se jis ke yahan bhi tashreef layein to Aap se yeh kaha jaye ke Aap ke munh se maghafeer (ek khaas qism ke bad-boodar gond) ki mehak aati hai , kya Aap ne maghafeer khaya hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ke baad hum mein se ek ke yahan tashreef layein to unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yahi baat kahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi balkay main ne Zaynub bint Jahsh ke haan shehad piya hai , ab dobara nahi piyoon ga . Is par yeh aayat nazil hui «ya ayyuhan-nabiyyu lima tuharrimu ma ahallallahu laka» ke ”Ae Nabi! Aap woh cheez kyun haram karte hain jo Allah ne Aap ke liye halal ki hai .“ Se «in tatooba ilallahi» tak . Yeh Aisha razi Allahu anhuma aur Hafsa razi Allahu anhuma ki taraf khitab hai «wa izh asar-ran-nabiyyu ila ba-di azwaajihi» . Hadees se Aap ka yahi farmana murad hai ke main ne maghafeer nahi khaya balkay shehad piya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة