الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب: {لا يؤاخذكم الله باللغو فى أيمانكم ولكن يؤاخذكم بما كسبت قلوبكم والله غفور حليم} :
Surat Al-Baqarah mein Allah Taala ka farmaan ke "woh tumhari laghw qasmon ke baare mein tum se pakad nahin kare ga balkeh un qasmon ke baare mein kare ga jin ka tumhare dilon ne iraada kiya ho ga aur Allah bada hi maghfirat karne wala bohot bardbaar hai".
Hadith Number: 6663
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها:" لا يؤاخذكم الله باللغو في ايمانكم سورة البقرة آية 225، قال: قالت: انزلت في قوله: لا والله، بلى والله".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , kaha ke mujhe mere walid ne khabar di , unhein Aisha razi Allahu anha ne ke aayat «laa yu'aakhizhukum-ul-laahu bil-laghwi» ”Allah Ta'ala tum se laghw qasmon ke baare mein pakar nahi kare ga .“ Rawi ne bayan kiya ke Umm al-Momineen razi Allahu anha ne kaha ke yeh aayat «laa , wallaahi balaa wallaahi» (be-saakhta jo qasmein aadat bana li jaati hain) ke baare mein nazil hui ku .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4613
حدثنا علي بن سلمة، حدثنا مالك بن سعير، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:" انزلت هذه الآية لا يؤاخذكم الله باللغو في ايمانكم سورة المائدة آية 89 في قول الرجل: لا والله، وبلى والله".
Hum se Ali bin Salama ne bayan kiya , kaha hum se Malik bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Hisham ne bayan kiya , un se un ke walid ne aur un se Aisha rz ne ke ayat «La Yu'akhizukumullahu Billaghwi Fi Aimanimkum» ”Allah tum se tumhari fuzool qasmon par pakar nahi karta .“ kisi ke is tarah qasam khane ke baare mein nazil hui thi ke nahi , Allah ki qasam , han Allah ki qasam! .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة