الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب عهد الله عز وجل:
Jo shakhs "ala ahdillah" kahe to kya hukm hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6660
قال سليمان في حديثه: فمر الاشعث بن قيس، فقال: ما يحدثكم عبد الله؟ قالوا له: فقال الاشعث: نزلت في، وفي صاحب لي، في بئر كانت بيننا.
Sulayman ne bayan kiya ke phir Ash'as bin Qays razi Allahu anhu wahan se guzre aur poochha ke Abdullah tum se kya bayan kar rahe thay . Hum ne in se bayan kiya to Ash'as razi Allahu anhu ne kaha ke yeh aayat mere aur mere ek saathi ke baare mein nazil hui ku , ek kunwien ke silsile mein hum donon ka jhagra thu .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2357
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن شقيق، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"من حلف على يمين يقتطع بها مال امرئ مسلم هو عليها فاجر، لقي الله وهو عليه غضبان، فانزل الله تعالى: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77 الآية". فجاء الاشعث، فقال: ما حدثكم ابو عبد الرحمن في انزلت هذه الآية كانت لي بئر في ارض ابن عم لي، فقال لي: شهودك؟ قلت: ما لي شهود، قال: فيمينه، قلت: يا رسول الله، إذا يحلف فذكر النبي صلى الله عليه وسلم هذا الحديث، فانزل الله ذلك تصديقا له.
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Hamzah ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Shaqeeq ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs koi aisi jhooti qasam khaye jis ke zariya wo kisi Musalman ke maal par nahak qabza kar lay to wo Allah se is haal mein milega ke Allah Ta'ala us par bahut ziyada ghazab-naak ho ga. Aur phir Allah Ta'ala ne (Surah Aal-e-Imran ki ye) ayat nazil farmayi «إن الذين يشترون بعهد الله وأيمانهم ثمنا قليلا» ”Jo log Allah ke ahad aur apni qasmon ke zariya duniya ki thori daulat khareedte hain“ aakhir ayat tak. Phir Ashath (Radi Allahu Anhu) aaye aur poocha ke Abu Abdur Rahman (Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu) ne tum se kya hadees bayan ki hai ? Ye ayat to mere baare mein nazil hui thi. Mera ek kunwan mere chacha zaad bhai ki zameen mein tha. (Phir jhagrah hua to) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se farmaya ke tu apne gawah la. Mein ne arz kiya ke gawah to mere paas nahi hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir fareeq-e-mukhalif se qasam lay lay. Is par mein ne kaha Ya Rasul Allah! ye to qasam kha baithe ga. Ye sun kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye farmaya aur Allah Ta'ala ne bhi is baare mein ye ayat nazil farma kar is ki tasdeeq ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة