الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {وأقسموا بالله جهد أيمانهم} :
Allah Pak ka Surat An-Nur mein irshaad "yeh munaafiq Allah ki bari pakki qasmein khate hain".
Show diacritics
Hadith Number: 6654
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن اشعث، عن معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن اشعث، عن معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه، قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم: بإبرار المقسم".
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne, unhon ne Ash-as bin Abi al-Shas-sa se, unhon ne Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin se, unhon ne Bara bin Azib se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne, kaha hamase Shubah ne, unhon ne Ash-as se, unhon ne Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin se, unhon ne Bara razi Allahu anhu se, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qasam khane wale ko sacha karne ka hukm farmaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1239
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاشعث , قال: سمعت معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه , قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم بسبع ونهانا عن سبع، امرنا: باتباع الجنائز , وعيادة المريض , وإجابة الداعي , ونصر المظلوم , وإبرار القسم , ورد السلام , وتشميت العاطس، ونهانا عن: آنية الفضة , وخاتم الذهب , والحرير , والديباج , والقسي , والإستبرق".
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Ashath bin Abil Shatha ne , unhon ne kaha ke main ne Muawiya bin Suwayd Muqrin se suna , woh Bara bin Azib razi Allahu anhu se naqal karte thay ke humein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne saat kaamon ka hukm diya aur saat kaamon se roka . Humein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hukm diya tha janaza ke saath chalne , mareez ki mizaj pursi , dawat qabool karne , mazloom ki madad karne ka , qasam poori karne ka , salam ka jawab dene ka , chheenk par «yarhamukallah» kehne ka aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne humein mana kiya tha chaandi ke bartan (istemal mein laane) se , sone ki angoothi pehnne se , resham aur deebaj (ke kapron ke pehnne) se , qasi se , istabraq se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة