الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ الأَمْرِ بِاتِّبَاعِ الْجَنَائِزِ:
Chapter. The order of following the funeral procession.
Show diacritics
Hadith Number: 1239
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاشعث , قال: سمعت معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه , قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم بسبع ونهانا عن سبع، امرنا: باتباع الجنائز , وعيادة المريض , وإجابة الداعي , ونصر المظلوم , وإبرار القسم , ورد السلام , وتشميت العاطس، ونهانا عن: آنية الفضة , وخاتم الذهب , والحرير , والديباج , والقسي , والإستبرق".
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Ashath bin Abil Shatha ne , unhon ne kaha ke main ne Muawiya bin Suwayd Muqrin se suna , woh Bara bin Azib razi Allahu anhu se naqal karte thay ke humein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne saat kaamon ka hukm diya aur saat kaamon se roka . Humein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hukm diya tha janaza ke saath chalne , mareez ki mizaj pursi , dawat qabool karne , mazloom ki madad karne ka , qasam poori karne ka , salam ka jawab dene ka , chheenk par «yarhamukallah» kehne ka aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne humein mana kiya tha chaandi ke bartan (istemal mein laane) se , sone ki angoothi pehnne se , resham aur deebaj (ke kapron ke pehnne) se , qasi se , istabraq se .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1240
حدثنا محمد، حدثنا عمرو بن ابي سلمة، عن الاوزاعي , قال: اخبرني ابن شهاب , قال: اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة رضي الله عنه قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم , يقول:" حق المسلم على المسلم خمس: رد السلام , وعيادة المريض , واتباع الجنائز , وإجابة الدعوة , وتشميت العاطس" , تابعه عبد الرزاق , قال: اخبرنا معمر، ورواه سلامة بن روح، عن عقيل.
Hum se Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Amr bin Abi Salamah ne byaan kiya , un se Imam Awzai ne , unhon ne kaha ke mujhe Ibn Shihab ne khabar di , kaha ke mujhe Saeed bin Musayyib ne khabar di ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Musalman ke Musalman par paanch haq hain salam ka jawab dena , mareez ka mizaj maloom karna , janaze ke saath chalna , dawat qabool karna , aur chheenk par (is ke «alhamdulillah» ke jawab mein) «yarhamukallah» kehna . Is riwayat ki mutaba'at Abdur Razzaq ne ki hai . Unhon ne kaha ke mujhe Mamar ne khabar di thi . Aur is ki riwayat Salamah ne bhi Aqeel se ki hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain