الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب من حلف بملة سوى ملة الإسلام:
Is shakhs ke baare mein jis ne Islam ke siwa aur kisi mazhab par qasam khaai.
Hadith Number: 6652
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من حلف بغير ملة الإسلام، فهو كما قال، قال: ومن قتل نفسه بشيء، عذب به في نار جهنم، ولعن المؤمن، كقتله، ومن رمى مؤمنا بكفر، فهو كقتله".
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, unhon ne Ayub se riwayat kiya, unhon ne Abu Qulabah se, unhon ne Sabit bin Zhah-hak se, unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo Islam ke siwa kisi aur mazhab par qasam khaye pas woh aisa hi hai jaisi ke us ne qasam khayi hai aur jo shakhs apne nafs ko kisi cheez se halak kare woh dozakh mein isi cheez se azab diya jata rahe ga aur momin par lanat bheijna us ko qatl karne ke barabar hai aur jis ne kisi momin par kufr ka ilzam lagaya pas woh bhi is ke qatl karne ke barabar hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1363
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا خالد، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" من حلف بملة غير الإسلام كاذبا , متعمدا فهو كما قال، ومن قتل نفسه بحديدة عذب به في نار جهنم".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Khalid Hazza ne byaan kiya ‘ un se Abu Qulaba ne aur un se Thabit bin Dahhak razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs Islam ke siwa kisi aur deen par hone ki jhooti qasam qasdan khaye to woh waisa hi ho jaye ga jaisa ke us ne apne liye kaha hai aur jo shakhs apne ko dhaar daar cheez se zibah kar le ise Jahannam mein isi hathiyar se azab hota rahe ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة