الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {لا يؤاخذكم الله باللغو فى أيمانكم ولكن يؤاخذكم بما عقدتم الأيمان فكفارته إطعام عشرة مساكين من أوسط ما تطعمون أهليكم أو كسوتهم أو تحرير رقبة فمن لم يجد فصيام ثلاثة أيام ذلك كفارة أيمانكم إذا حلفتم واحفظوا أيمانكم كذلك يبين الله لكم آياته لعلكم تشكرون} :
Allah Taala ne Surat Al-Maida mein farmaya "Allah Taala laghw qasmon par tum ko nahin pakde ga, balkeh un qasmon par pakde ga jinhen tum pakke taur se khao. Pas us ka kaffara das miskeenon ko mamooli khana khilana hai, us ausat khane ke mutabiq jo tum apne ghar walon ko khilate ho ya un ko kapra pehnana ya ek ghulam aazaad karna. Pas jo shakhs yeh cheezen na paaye to us ke liye teen din ke roze rakhna hai. Yeh tumhari qasmon ka kaffara hai jis waqt tum qasam khao aur apni qasmon ki hifazat karo. Isi tarah Allah Taala apne hukmon ko khol kar bayaan karta hai. Shayad ke tum shukr karo.
Show diacritics
Hadith Number: 6626
حدثني إسحاق يعني ابن إبراهيم، حدثنا يحيى بن صالح، حدثنا معاوية، عن يحيى، عن عكرمة، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من استلج في اهله بيمين، فهو اعظم إثما ليبر، يعني: الكفارة".
Mujh se Ishaq yani Ibn Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Yahya bin Salih ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Muawiyah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya ne , in se Ikrimah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”woh shakhs jo apne ghar walon ke muamla mein qasam par ura rehta hai woh is se bada gunah karta hai ke is qasam ka kaf-fara ada kar de .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6625
وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والله لان يلج احدكم بيمينه في اهله، آثم له عند الله من ان يعطي كفارته التي افترض الله عليه".
Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke wallah (basa auqat) apne ghar walon ke muamla mein tumhara apni qasmon par israr karte rehna Allah ke nazdeek is se zyada gunah ki baat hoti hai ke (qasam tor kar) is ka woh kaf-fara ada kar diya jaye jo Allah Ta'ala ne is par farz kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة