الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب القدر
Kitab: Taqdeer ke bayan mein
باب الله أعلم بما كانوا عاملين:
Is bayaan mein ke mushrikon ki aulaad ka haal Allah hi ko maloom ke agar woh bade hote, zinda rehte to kaise amal karte.
Show diacritics
Hadith Number: 6597
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن اولاد المشركين، فقال:" الله اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abu Bishr ne , in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mushrikeen ki aulad ke baare mein sawal kiya gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ko khoob maloom hai ke woh (bare ho kar) kya amal karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1383
حدثني حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم , قال:" سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن اولاد المشركين، فقال: الله إذ خلقهم اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Habban bin Musa Marwazi ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha ke humein Shubah ne khabar di ‘ unhein Abu Bishr Jafar ne ‘ unhein Saeed bin Jubair ne ‘ un ko Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mushrikon ke nabaligh baccho ke baare mein poocha gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne jab unhein paida kiya tha isi waqt woh khoob jaanta tha ke yeh kya amal kareinge .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1384
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري , قال: اخبرني عطاء بن يزيد الليثي , انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه , يقول:" سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن ذراري المشركين، فقال: الله اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Abul Yaman Hakam bin Nafi ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne Zuhri se khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujhe Ata bin Yazid Laythi ne khabar di ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ‘ Aap ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mushrikon ke nabaligh baccho ke baare mein poocha gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah khoob jaanta hai jo bhi woh amal karne wale hue .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6598
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: واخبرني عطاء بن يزيد، انه سمع ابا هريرة، يقول: سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذراري المشركين، فقال:" الله اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Yunus ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Ata bin Yazid ne khabar di , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mushrikeen ki aulad ke mutalliq poochha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah khoob jaanta hai ke woh kya amal karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة