الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب صفة الجنة والنار:
Jannat o Jahannam ka bayaan.
Hadith Number: 6561
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، قال: سمعت ابا إسحاق، قال: سمعت النعمان، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن اهون اهل النار عذابا يوم القيامة، لرجل توضع في اخمص قدميه جمرة يغلي منها دماغه".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha ke main ne Abu Ishaq Sabee se suna , kaha ke main ne Nu-man bin Basheer razi Allahu anhu se suna , kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din azab ke aitbar se sab se kam woh shakhs ho ga jis ke donon qadmon ke neeche aag ka angara rakkha jaye ga aur is ki wajah se is ka dimagh khol raha ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6557
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي عمران، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: يقول الله تعالى:" لاهون اهل النار عذابا يوم القيامة: لو ان لك ما في الارض من شيء اكنت تفتدي به"، فيقول: نعم، فيقول:" اردت منك اهون من هذا، وانت في صلب آدم، ان لا تشرك بي شيئا، فابيت إلا ان تشرك بي".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abu Imran Jooni ne bayan kiya , kaha main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala Qayamat ke din dozakh ke sab se kam azab paane wale se poochhe ga agar tumhein roye zameen ki saari cheezin mayassar hon to kya tum un ko fidya mein (is azab se najat paane ke liye) de do ge , woh kahe ga ke haan , Allah Ta'ala farmaye ga ke main ne tum se is se bhi sahal cheez ka is waqt mutalba kiya tha jab tum Adam alaihissalam ki peeth mein thay ke mere saath kisi ko shareek na karna lekin tum ne (tawheed ka) inkar kiya aur na maana aakhir shirk hi kiya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6562
حدثنا عبد الله بن رجاء، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن النعمان بن بشير، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن اهون اهل النار عذابا يوم القيامة: رجل على اخمص قدميه جمرتان يغلي منهما دماغه كما يغلي المرجل والقمقم".
Hum se Abdullah bin Rajaa ne bayan kiya , kaha hum se Israeel ne bayan kiya , in se Abu Ishaq ne , in se Nu-man bin Basheer razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din dozakhiyon mein azab ke aitbar se sab se halka azab paane wala woh shakhs ho ga jis ke donon pairon ke neeche do angare rakh diye jayein ge jin ki wajah se is ka dimagh khol raha ho ga jis tarah haandi aur kaitli josh khati hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة