الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب من نوقش الحساب عذب:
Jis ke hisaab mein khod kareed ki gayi us ko azaab kiya jaayega.
Hadith Number: 6540
قال الاعمش: حدثني عمرو، عن خيثمة، عن عدي بن حاتم، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اتقوا النار ثم اعرض واشاح، ثم قال: اتقوا النار ثم اعرض واشاح ثلاثا، حتى ظننا انه ينظر إليها، ثم قال: اتقوا النار ولو بشق تمرة، فمن لم يجد فبكلمة طيبة".
Adi bin Hatim razi Allahu anhu se ek aur riwayat hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahannum se bacho , phir Aap ne chehra pher liya , phir farmaya ke jahannum se bacho aur phir is ke baad chehra mubarak pher liya , phir farmaya jahannum se bacho . Teen martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aisa hi kiya . Hum ne is se yeh khayal kiya ke Aap jahannum dekh rahe hain . Phir farmaya ke jahannum se bacho khwah khajoor ke ek tukre hi ke zariye ho sake aur jise yeh bhi na mile to usay (logon mein) kisi achhi baat kehne ke zariye se hi (jahannum se) bachne ki koshish karni chahiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1413
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عاصم النبيل، اخبرنا سعدان بن بشر، حدثنا ابو مجاهد، حدثنا محل بن خليفة الطائي، قال:سمعت عدي بن حاتم رضي الله عنه , يقول:" كنت عند رسول الله صلى الله عليه وسلم فجاءه رجلان احدهما يشكو العيلة والآخر يشكو قطع السبيل، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اما قطع السبيل فإنه لا ياتي عليك إلا قليل حتى تخرج العير إلى مكة بغير خفير، واما العيلة فإن الساعة لا تقوم حتى يطوف احدكم بصدقته لا يجد من يقبلها منه، ثم ليقفن احدكم بين يدي الله ليس بينه وبينه حجاب ولا ترجمان يترجم له، ثم ليقولن له الم اوتك مالا فليقولن بلى، ثم ليقولن الم ارسل إليك رسولا فليقولن بلى، فينظر عن يمينه فلا يرى إلا النار، ثم ينظر عن شماله فلا يرى إلا النار، فليتقين احدكم النار ولو بشق تمرة، فإن لم يجد فبكلمة طيبة".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Asim Nabeel ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Sadaan bin Basheer ne khabar di ‘ kaha ke hum se Abu Mujahid Saad Tayee ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Mahal bin Khaleefah Tayee ne byaan kiya ‘ kaha ke maine Adi bin Hatim Tayee razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein maujood tha ke do shakhs aaye ‘ ek faqr o faqa ki shikayat liye hue tha aur doosre ko raston ke ghair mehfooz hone ki shikayat thi . Is par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahan tak raston ke ghair mehfooz hone ka ta'lluq hai to bahut jald aisa zamana aane wala hai ke jab ek qafila Makka se kisi muhafiz ke baghair nikle ga . (Aur isay raste mein koi khatra na ho ga) aur raha faqr o faqa to Qayamat is waqt tak nahi aaye gi jab tak (maal o daulat ki kasrat ki wajah se yeh haal na ho jaye ke) ek shakhs apna sadqa le kar talash kare lekin koi isay lene wala na mile . Phir Allah Ta'ala ke darmiyan koi parda na ho ga aur na tarjumani ke liye koi tarjuman ho ga . Phir Allah Ta'ala is se pooche ga ke kya maine tujhe duniya mein maal nahi diya tha ? Woh kahe ga ke haan diya tha . Phir Allah Ta'ala pooche ga ke kya maine tere paas paighambar nahi bheja tha ? Woh kahe ga ke haan bheja tha . Phir woh shakhs apne dayein taraf dekhe ga to aag ke siwa aur kuch nazar nahi aaye ga phir bayein taraf dekhe ga aur udhar bhi aag hi aag ho gi . Pas tumhein Jahannam se darna chahiye khwah ek khajoor ke tukre hi (ka sadqa kar ke is se apna bacha'o kar sako) agar yeh bhi muyassar na aa sake to acchi baat hi munh se nikale .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة