الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب سكرات الموت:
Maut ki sakhtiyon ka bayaan.
Hadith Number: 6512
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، عن معبد بن كعب بن مالك، عن ابي قتادة بن ربعي الانصاري، انه كان يحدث ان رسول الله صلى الله عليه وسلم مر عليه بجنازة، فقال:" مستريح ومستراح منه"، قالوا: يا رسول الله، ما المستريح والمستراح منه؟ قال:" العبد المؤمن يستريح من نصب الدنيا واذاها إلى رحمة الله، والعبد الفاجر يستريح منه العباد، والبلاد، والشجر، والدواب".
Hum se Ismail ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Muhammad bin Amr Hal-halah ne , in se Saad bin Kabb bin Malik ne , in se Abu Qatadah bin Rabee Ansari razi Allahu anhu ne , woh bayan karte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke qareeb se log ek janaza le kar guzre to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke «mustaree-hun» ya «mustaraahun» hai yani usay aaram mil gaya , ya is se aaram mil gaya . Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! ”Mustaree-h au Mustaraa-h minhu“ ka kya matlab hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin banda duniya ki mashaq-qaton aur takleefon se Allah ki rahmat mein najat pa jaata hai woh «mustaree-hun» hai aur «mustaraahun» minhu woh hai ke fajir banda se Allah ke bande , shehar , darakht aur chaupaye sab aaram pa jaate hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6513
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبد ربه بن سعيد، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، حدثني ابن كعب، عن ابي قتادة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مستريح ومستراح منه المؤمن يستريح".
Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , in se Abd-u-Rabbihi bin Saeed ne , in se Muhammad bin Amr ne bayan kiya , in se Talha bin Kabb ne bayan kiya , in se Abu Qatadah ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh marne wala ya to aaram paane wala hai ya doosre bandon ko aaram dene wala hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة