الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب العمل الذى يبتغى به وجه الله:
Aisa kaam jis se khaalis Allah Taala ki raza mandi maqsood ho.
Hadith Number: 6422
حدثنا معاذ بن اسد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، قال: اخبرني محمود بن الربيع، وزعم محمود، انه عقل رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال: وعقل مجة مجها من دلو كانت في دارهم.
Hum se Maaz bin Asad ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Mamar ne khabar di , in se Zuhri ne bayan kiya ke mujhe Mahmood bin Rabee Ansari ne khabar di aur woh kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki yeh baat khoob mere zaihan mein mahfooz hai . Unhein yaad hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke ek doul mein se pani le kar mujh par kulli kar di thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 77
حدثني محمد بن يوسف، قال: حدثنا ابو مسهر، قال: حدثني محمد بن حرب، حدثني الزبيدي، عن الزهري، عن محمود بن الربيع، قال:" عقلت من النبي صلى الله عليه وسلم مجة مجها في وجهي، وانا ابن خمس سنين من دلو".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, un se Abu Mus-hir ne, un se Muhammed bin Harb ne, un se Zubaidi ne Zohri ke waaste se bayan kiya, woh Mahmood bin Ar-Rabee’ se naql karte hain, unhon ne kaha ke mujhe yaad hai ke (ek martaba) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek dol se munh mein paani le kar mere chehre par kulli farmaayi, aur main us waqt paanch saal ka tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة