الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الدعوات
Kitab: Duaon ke bayan mein
باب فضل التهليل:
La ilaha illallah kehne ki fazilat ka bayaan.
Hadith Number: 6403
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من قال: لا إله إلا الله وحده لا شريك، له له الملك، وله الحمد، وهو على كل شيء قدير في يوم مائة مرة، كانت له عدل عشر رقاب، وكتب له مائة حسنة، ومحيت عنه مائة سيئة، وكانت له حرزا من الشيطان يومه ذلك حتى يمسي، ولم يات احد بافضل مما جاء إلا رجل عمل اكثر منه".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, in se Imam Malik ne bayan kiya, in se Sumay ne, in se Abu Salih ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne yeh kalma ke Allah ke siwa koi mabood nahi, tanha hai is ka koi shareek nahi, isi ke liye badshahi hai aur isi ke liye tareefein hain aur woh har cheez par qudrat rakhne wala hai.“ din mein sau dafa parha usay das ghulamon ko aazad karne ka sawab mile ga aur is ke liye sau naikiyaan likh di jayein gi aur is ki sau buraiyaan mita di jayein gi aur is din woh shaytan ke shar se mahfooz rahe ga shaam tak ke liye aur koi shakhs is din is se behtar kaam karne wala nahi samjha jaye ga, siwa is ke jo is se zyada kare.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2393
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن سلمة، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: كان لرجل على النبي صلى الله عليه وسلم سن من الإبل فجاءه يتقاضاه، فقال صلى الله عليه وسلم: اعطوه فطلبوا سنه، فلم يجدوا له إلا سنا فوقها، فقال: اعطوه، فقال: اوفيتني وفى الله بك، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن خياركم احسنكم قضاء".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, un se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par ek shakhs ka ek khas umar ka oont qarz tha. Wo shakhs Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se taqaza karne aya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise oont day do. Sahaba ne talash kiya lekin aisa hi oont mil saka jo qarz khwah ke oont se acchi umar ka tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke wahi day do. Is par us shakhs ne kaha ke aap ne mujhe mera haq poori tarah diya Allah aap ko bhi is ka badla poora poora day. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum mein behtar aadmi wo hai jo qarz ada karne mein bhi sab se behtar ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6404
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الملك بن عمرو، حدثنا عمر بن ابي زائدة، عن ابي إسحاق، عن عمرو بن ميمون، قال:" من قال: عشرا كان كمن اعتق رقبة من ولد إسماعيل"، قال عمر بن ابي زائدة، وحدثنا عبد الله بن ابي السفر، عن الشعبي، عن ربيع بن خثيم، مثله، فقلت للربيع: ممن سمعته؟ فقال: من عمرو بن ميمون، فاتيت عمرو بن ميمون، فقلت: ممن سمعته؟ فقال: من ابن ابي ليلى، فاتيت ابن ابي ليلى، فقلت: ممن سمعته؟ فقال من ابي ايوب الانصاري يحدثه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،. وقال إبراهيم بن يوسف، عن ابيه، عن ابي إسحاق، حدثني عمرو بن ميمون، عن عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن ابي ايوب قوله، عن النبي صلى الله عليه وسلم،. وقال موسى، حدثنا وهيب، عن داود، عن عامر، عن عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن ابي ايوب، عن النبي صلى الله عليه وسلم،. وقال إسماعيل، عن الشعبي، عن الربيع قوله. وقال آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الملك بن ميسرة، سمعت هلال بن يساف، عن الربيع بن خثيم، وعمرو بن ميمون، عن ابن مسعود قوله. وقال الاعمش، وحصين، عن هلال، عن الربيع، عن عبد الله قوله. ورواه ابو محمد الحضرمي، عن ابي ايوب، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" كان كمن اعتق رقبة من ولد إسماعيل"، قال: ابو عبد الله: الصحيح قول عبد الملك بن عمرو.
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Malik bin Amr ne, kaha ke hamase Amr bin Abi Zaid ne, in se Abu Ishaq Sabee ne, in se Amr bin Maymoon ne bayan kiya ke jis ne yeh kalma das martaba parh liya woh aisa ho ga jaise us ne ek Arabi ghulam aazad kiya. Isi sanad se Amr bin Abi Zaidah ne bayan kiya ke hamase Abdullah bin Abi al-Safar ne bayan kiya, in se Shabi ne, in se Rabee bin Khaisam ne yahi mazmoon to main ne Rabee bin Khaisam se poochha ke tum ne kis se yeh hadees suni hai? Unhon ne kaha ke Amr bin Maymoon Odi se. Phir main Amr bin Maymoon ke paas aaya aur in se daryaft kiya ke tum ne yeh hadees kis se suni hai? Unhon ne kaha ke Ibn Abi Layla se. (phir main) Ibn Abi Layla ke paas aaya aur poochha ke tum ne yeh hadees kis se suni hai? Unhon ne kaha ke Abu Ayub Ansari razi Allahu anhu se, woh yeh hadees Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se bayan karte thay aur Ibrahim bin Yusuf ne bayan kiya, in se in ke walid Yusuf bin Ishaq ne, in se Abu Ishaq Sabee ne, unhon ne kaha ke mujh se Amr bin Maymoon Odi ne bayan kiya, in se Abd-ur-Rahman bin Abi Layla ne aur in se Abu Ayub Ansari razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yahi hadees naqal ki. Aur Musa bin Ismail ne bayan kiya ke hamase Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, in se Dawood bin Abi Hind ne, in se Aamir Shabi ne, in se Abd-ur-Rahman bin Abi Layla ne aur in se Abu Ayub razi Allahu anhu ne, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se. Aur Ismail bin Abi Khalid ne bayan kiya, in se Shabi ne, in se Rabee ne mauqoofan in ka qaul naqal kiya. Aur Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hamase Shubah ne bayan kiya, kaha hamase Abd-ul-Malik bin Maysarah ne bayan kiya, kaha main ne Hilal bin Yasaf se suna, in se Rabee bin Khaisam aur Amr bin Maymoon donon ne aur in se Ibn Masood razi Allahu anhu ne. Aur Aamash aur Haseen donon ne Hilal se bayan kiya, in se Rabee bin Khaisam ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne, yahi hadees riwayat ki. Aur Abu Muhammad Hazrami ne Abu Ayub razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se marfoo-an isi hadees ko riwayat kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة